Acidity hone par pet me ya seene me jalan hoti hai. jyadatar acidity hamare khane ki galat aadato ki vajah se hoti hai. hamare khane ki galat aadato ki vajah se na sirf acidity balki pet me gas kabz jaise sikayate bhi rehti hai.
![]() |
Acidity |
Pet me khane ko pachan karne ke liye ek acid banata hai aur ye acid hamare galat khane ki aadato ki vajah se agar jyada ban jaye to acidity ki problem hoti hai. aur kya aap jante hai ki hamare pet me banane vala ye acid razer blad ko bhi pigla de itna tej hota hai. isliye hame acidity na ho aisa karna hoga.
![]() |
Acidity ka ilaaj |
Acidity Hone Ke Karan
Acidity bahot sare karano se hoti hai. unme se hum apko kuchh common karan batate hai.
- jyada masaledar khana khane se
- sharab pine se, smoking karne se aur koi bhi nasha karne se
- jyada der tak bhuke rehne se
- jyada chay pine se
- khali pet chay pine se
- body mein garmi badh jane se
- rat ko bhojan(dinner) na karne se
- subah nasta na karne se
- neend puri na hona
- jyada tension lene ki vajah se
upar bataye gaye karan acidity hone ke common reason hai, aur bhi kai karan hai jisase acidity hoti hai.
Acidity Hone Ke Lakshan
- pet me ya seene me jalan hona
- pet me gas ya kabz ki shikayat hona
- kadvi aur khatti dakaare aana
- sir me dard hona
- pet me dard hona
- ulti hona ya fir khali ubaak aana
upar acidity ke common lakshan bataye gaye hai apko ye sari asar apne sharir me hone lage to samajiye ki apko acidity hui hai
Acidity Dur Karne Ke Upay
Apko agar acidity daily problem ban gai hai to hum apko kuchh aise upay batate hai jisase apko acidity nai hogi aur puri tarah ye ilaj karne se apki acidity problem hamesha ke liye gayab ho jayegi.
Adarak
Adarak acidity control karne me bahot hi faydemand rehta hai. nimbu ke ras aur shahad ke sath adarak ka ras milakar piye. ya fir ek gilas gungune pani me adarak ke chote chote tukde rakhiye aur uss pani ko chaan kar pijiye. ye upchar rojana karne se apko hamesha ke liye acidity se nijat mil skti hai.
![]() |
Ginger |
Aloevera
Aloevera acidity ke liye bahot achha, sasta aur asarkark upay hai. Acidity problem valo ko Aloevera juice pine se acidity se hamesha ke liye chhutkara milta hai. aur rojana aloevera juice pine valo ko acidity nai hoti hai.
![]() |
Aloevera |
Amla
Amla bi acidity ke liye asarkark upay hai. amle ka churan rojana subah-sham ek gilas pani me lijiye aur isako lene ke hour ke bad hi khaye-peeye. ap rojan subah amle ka ras bi pi skte hai.
![]() |
Amla |
Ashwagandha
Ashwagandha bi pet ki jalan ke liye aksir ilaj hai, ashwagandha ko ek gilas doodh me milakar rojana pine se apko hamesha ke liye acidity problem se nijat milti hai.
![]() |
Ashvagandha powder |
![]() |
Ashvagandha leaves |
Mulethi
Rojana Mulethi ka kadha banakar pine se ya fir mulethi ka churan rojana istemal karne se acidity dur ho jati hai.
![]() |
Mulethi powder |
Ajwain
Ajwain ko har-roj namak ke sath masal kar ya pees kar pani ke sath nigal jaye, ye rojana lene se acidity, kabz jaisi samsya me rahat milti hai.
![]() |
Ajwain |
Methi
Methi ke patto ko sukhakar uska powder bana lijiye aur rojana uska sevan kijiye. ap methi ke powder ko ajwain ke sath bi le sakte hai. isse rojana sevan karne se apko pet me jalan aur kabz aur gas jaisi problem nai hogi.
![]() |
Methi powder |
Elaichi
Elaichi ka rojana sevan karne se pet aur seene me jalan nai hoti. ap dophar ya rat ko khane ke bad 2-3 Elaichi ka sevan kare.
![]() |
Ilaichi |
Matthe(chhas)
Ap apne rojana khane me matthe ka sevan karne ki aadat dale. matthe apki pachan prakriya saral banata hai. matthe ka niyamit sevan karne se acidity aur gas nahi hoti hai.
![]() |
Buttermilk |
Lahsun
Lahsun sabhi rogo ke liye asarkark sabit hua hai. isliye ap Lahsun ka paste rojana sevan karenge to apko acidity kabz aur dusare bi kai rogo se nijat mil sakti hai.
![]() |
Garlic paste |
Saunf
Saunf bi pet sambhadhit sabhi samsya ko dur karti hai. saunf ko ap bachcho ko bhi de sakte hai. saunf ke rojana istemal se pet ki samsya dur ho jati hai.
![]() |
Saunf |
0 comments:
Post a Comment