Facebook Account Delete Aur Deactivate Kaise Kare In Hindi

delete facebook
delete facebook



Hello Friends!!! HINDI NUSKHE me aapka svagat hai aur me ek baar fir aapke liye kuchh khaas lekar aai hu. maine pichli post me aapko facebook account create karna sikhaya tha aur ab iss post me aapko facebook account delete karna sikhaungi. ji haa dosto aap apna facebook account delete bhi kar sakte hai.

Jo insan internet use karta hai aur uska facebook par account na ho aisa ho hi nahi sakta. kuchh logo me to facebook ka aisa kida rehta hai ki pure din facebook pe hi baithe rehte hai aur chhoti se chhoti chiz bhi facebook par share karte hai.

Guys iss post me hum dekhenge ki hum apna facebook account deactive kaise kar sakte hai ya fir use permenantly delete kaise kar sakte hai. Pehle me aapko ye bataungi ki aap apna facebook deactivate kaise karenge.


Facebook Account Deactivate Kaise kare


Facebook delete ya fir deactivate karne ki bahot sari vajah hai. agar aapki exams najdik hai aur aap apni study par concentrate karna chahte hai aur facebook me ji rehne ki vajah se study par concentrate nahi kar pa rahe to aap apna facebook kuchh dino ke liye deactive kar sakte hai.


deactive facebook account
deactive facebook account



Deactivate Facebook Account Step By Step


Yaha par aap niche diye gaye steps aur images ko dekh kar apna facebook account delete kar sakte hai.

Step 1 : Open Facebook

Sabse pehle aap apna facebook account login kijiye. Facebook.com site open karke usme se login kijiye.


Open Facebook
Open Facebook

Ab aap facebook use kar rahe hai to aapko pata to hoga hi ki login ke baad apka home page khulega. ab iske baad ka step me aapko aage batati hu.


Step 2 : Open security setting

Security open karne ke liye aapko upar jo ulte triangle ka option hai vaha par click karke aapko setting open karna hoga aur vaha par security ka option hoga.


Open security setting
Open security setting

Jab aap home page me upar btaye gaye image ke jaise setting open karenge to ek naya page khulega jiski image humne niche explain ki hai.


security
security


Step 3 : Deactivate facebook account

facebook account deactivate karne se apka facebook account kisi ko bhi nahi dikhai dega aur aap ko koi bhi notification nahi aayegi. to aaiye jante hai ki account deactivate kaise hoga.

Upar ke do steps complete karne ke baad aab ye tisra last step hai jisase aapka facebook account deactivate ho jayega.


deactive facebook
deactive facebook


fill information
fill information


deactivate
deactivate



Last image ke jaise page me jab aap deactivate now button par click karenge to aapka account kuchh dino ke liye deactivate ho jayega lekin yaad rakhiye ki aapko vo account fir se activate karna hai to 14 dino me karna hoga. agar aap 14 dino me apna account fir se login nahi karenge to aapka account humesha ke liye delete ho jayega.


Facebook account humesha ke liye delete kaise kare


Humne upar ye sikh liya ki hum apna facebok account delete kaise kar sakte hai lekin agar aapko facebook account humesha ke liye delete karna hai to bhi aap kar sakte hai.

Step 1 : Open delete account page and login to facebook

Aap Delete account ke page se aap apna account delete kar sakte hai. ab aaiye me ye batati hu ki aise page se aap apna account delete kaise karenge.

Sabse pehle ye page open kare aur usme aapko jo facebook account delete karna ho uska userID aur password enter karke login kare.


open delete account page
open delete account page


login in to facebook
login in to facebook


Step 4 : delete account

Apna account delete karne ke liye login karne ke baad delete account ka page khulega. jaisa niche ki image me hai.


delete account
delete account

Upar bataye gaye image ke jaisa ek page khulega usme aapko delete my account ke blue color ke button par click karna hoga. usme aapko ek naya page khulega. us page me aapko apna facebook password aur uske niche captcha diya gya hoga vo fill karna hoga. 


delete account
delete account


upar diye gaye image ke jaisa ek page khulega usme aapko apna password aur captcha ki information fill karne ke baad ok ke button par click kar dijiye tab aapko ek massage aayega aur uske niche bhi ok button hoga uss par click kar dijiye aapka account deletion confirm ho jayega.


confirm message
confirm message

Account permanent delete karne ke liye bhi aapko 14 din tak wait karna hoga aur agar inn 14 dino me aapko apna account fir se active karna hoga to aap account delete karne ki request cancel bhi kar sakte hai. agar aapne 14 dino me apna account fir se open nahi kiya to aapka account permanent delete ho jayega.

Account deletion request cancel karne ke liye aap apna facebook login kare tab aapko ek aisa page khulega.


deletion
deletion

agar aapko apna account delete nahi karna hai to aap cancel deletion par click kar sakte aur aap yahi chahte hai ki aapka account humesha ke liye delete ho jaye to aap confirm deletion par click kar lijiye. aapka account 14 dino me delete ho jayega.


Final Words


Guys iss post me humne do tarah se facebook account delete karna sikhaya hai. agar aapki exams najdik hai aur facebook ki vajah se aap padhai nahi kar paa rahe hai to aap apna account temporary deactive kar sakte hai yani ki aap exams tak apna account deactivate kar exams ke baad fir se activate kar sakte hai. agar aap apna profile hi delete kar dena chahte hai to aap dusra permanent deletion ka option choice kar sakte hai.

Friends i hope ki aapko meri ye post achhi lagi ho to aap iss post ko apne friends ke sath share kare aur iss post ke related koi bhi suggestion ho to mujhe bata sakte hai aur uske liye aap niche diye comment box me apna suggestion likh sakte hai.

0 comments:

Post a Comment