Ek Mobile Se Dusre Mobile Me Balance Transfer Kaise Kare Step By Step Guide In Hindi

How to transfer balance
How to transfer balance



Ek mobile se dusre mobile me balance transfer kaise kare??? Hii guys Aap to jante hi hoge ki ajkal mobile har insan ki necessary ban gayi hai. mobile ke bina to mano zindgi adhuri si lagti hai aur aajkal har kisi ke paas smartphone hi dikhayi deta hai.

Jab se ye smartphone aaya hai tab se ye bichare STD aur PCO vale to bekar hi baithe hai. Ajkal mobile har kisi ke paas hota hai kisi ko kahi bhi call karna ho mobile ne bilkul simple bana diya hai. Agar aapko kisi se contact karna ho to aapke paas sirf uska contact number, ek mobile phone aur mobile me balance chahiye.

Agar aap ke paas mobile phone aur jisase contact karna hai uska contact number to hoga lekin agar balance na ho to??? kya hum free call kar sakte hai??? nahi mobile se free calls to possible nahi hai lekin ek rasta hai hum ek mobile se dusre mobile me balance transfer kar sakte hai.

Jab hume kisi ko call karna hota hai to humare mobile me balance hona bahot hai jaruri hota hai balance ke bagair hum kisi ko bhi contact nahi kar pate hai. 

Kai bar humare sath aisa hota hai ki hum jab kisi se baat kar rahe hote hai to balance khatam ho jata hai aur phone cut ho jata hai aur kai baar to baat bhi itni important hoti hai. tab hum kya karenge?? aisi situation me hum kisi dusre ke mobile se apne mobile me balance transfer kar sakte hai.

Iss article me hum aapko Idea, Vodafone, Airtel, Aircel, Reliance, Tata Docomo, BSNL aur Telenor(uninor) ke sim card se dusre sim card me balance transfer kaise karte hai vo batayenge.

Ek mobile se Dusre mobile me Balance Transfer kaise kare???


Transfer balance
Transfer balance


Humne yaha iss post me aapko bataya hai ki ek mobile se dusre mobile me balance transfer kaise karte hai. humne iss post me balance transfer karne ke liye ek trick di hai. jisme USSD code diye hai. jaise humne upar bataya hai utne mobile ke liye hum aapko code denge jisase aap apne mobile me se dusre ke mobile me balance transfer kar sakte hai.


Idea To Idea Balance Transfer Trick

idea to idea balance transfer
idea to idea balance transfer


Apne idea mobile me se dusre idea mobile me balance transfer karne ke liye 2 tricks hai jo maine niche batayi hai.


Trick 1

Sabse pehle apne mobile ka dialer open kare.

Dialer me *151* likhe aur iske pichhe country code 91 add kare.

Country code 91 add karne ke baad aapko jis mobile me balance bhejna hai uska contact number Country code ke pichhe add kare.

Mobile number add karne ke baad * add karke amount add kare aur last me # add kar dijiye.

Aapne apne mobile dialer me jo bhi add kiya hai use USSD code kehte hai. example ke taur par me aapko batati hu ki vo kaise likha jayega.

Example: *151*919876543210*20# iss example me *151* balance transfer code hai, 91 country code hai, 9876543210 mobile number hai aur 20 amount hai yani ki aapko kitna balance transfer karna hai.


Trick 2

Trick 2 me aapko apne message box me se message bhejna hoga. sabse pehle apna message box open kar message writing open kare.

Message writing box open kar usme GIVE likhe aur ek space dekar jisko bhi balance bhejna hai uska number type kare.

GIVE aur number type karne ke baad aur ek space chhod ke amount likhe ki aapko kitne ka balance bhejna hai

Upar bataye mutabik message box me type karne ke baad 55567 par message bhej dijiye. 

Apka message aisa hona chahiye. Example: GIVE 9876543210 20

Idea users ko dhyan rahe ki aap ek din me sirf 5 se 100 rupee tak ka hi balance transfer kar sakte hai aur ek din me sirf 3 baar aur ek hi number par sirf ek baar hi balance transfer kar sakte hai.

Aap idea me balance transfer kar rahe hai to aapka card kam se 30 days purana hona chahiye aur jis idea card me aap balance transfer kar rahe hai uska card bhi kam se kam 90 days purana hona chahiye.


Vodafone To Vodafone Balance Transfer Trick

vodafone to vodafone balance transfer
vodafone to vodafone balance transfer


Ab hum ye janenge ki vodafone me balance transfer kaise kiya jata hai. vodafone se vodafone me balance transfer ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kare.

Vodafone se vodafone me balance transfer ke liye sabse pehle apne mobile ka dialer open kare. 

Apne mobile ka dialer open karne ke baad usme *131* likhe. ab aapko jitna balance transfer karna hai uska amount add kare aur fir se * add kare fir jis number par balance transfer karna hai uska mobile number add karaye aur last me # add karke dial kar de. ab aapka balance uss number par transfer ho jayega.

Aap jo dialer me likhenge vo ye example ke jaisa hoga.
Method: *131*<amount>*<receiver mobile number>#
Example: *131*20*9876543210#

Vodafone me ek din me sirf 3 baar aur ek hi number par sirf 1 baar hi balance transfer kar sakte hai aur ek mahine me sirf 30 baar hi balance transfer kar sakte hai. vodafone users ye bhi dhyan rakhe ki aap ek din me sirf 5 se 30 rupee tak ka hi balance transfer kar sakte hai. 

Airtel To Airtel Balance Transfer Trick

airtel to airtel balance transfer
airtel to airtel balance transfer


Airtel mobile se dusre airtel mobile me balance transfer karne ke liye maine niche kuchh steps diye hai use follow kare. 

Airtel to airtel mobile balance transfer me aapko sabse pehle apne mobile ke dialer me ja kar *141# dial kare.

Jab aap *141# dial karenge to ek menu option open hoga aur jab ye menu option aa jaye to aapko usme share talktime ka option select karna hoga. share talk time select karne ke liye uss option ke baju me jo number ho use press kare.

Share talktime select karne ke baad jitna balance transfer karna hai uska amount dale aur jisko bhejna hai uska number dale. 

Itna karne ke baad Ok kar de. aapka balance transfer ho jayega.

Airtel to airtel balance transfer me aap ek din me sirf 5 bar aur ek number sirf 1 baar hi balance transfer kar sakte hai. aap 5 se 30 rupee tak balance transfer kar sakte hai. airtel me aapka balance 5 minutes me transfer ho jata hai.

Aircel To Aircel Balance Transfer Trick

aircel to aircel balance transfer
aircel to aircel balance transfer


Aircel mobile se dusre aircel mobile me balance transfer karne ke liye niche diye gaye steps follow kare.

sabse pehle apne mobile ke dialer me ja kar *122*666# dial kare.

Ab airtel ke jaise hi isme bhi menu option aayega. menu option me se transfer ka option select kare. 

Ab transfer option select karne ke baad jis mobile par balance bhejna hai uska mobile number enter kare aur jitna balance transfer karna hai vo amount enter kare.

Amount aur mobile number enter karne ke baad send button par click kare. ab aapka balance transfer ho jayega.

Aircel users ko dhyan rahe ki aircel me balance transfers ke liye charges lagte hai. aap isme 5 se 100 tak ka recharge kar sakte hai lekin recharge ke mutabik isme charges bhi hai jo maine niche ki image me dikhaye hai.


aircel balance transfer charges


Reliance To Reliance Balance Transfer Trick

reliance to reliance balance transfer
reliance to reliance balance transfer


Reliance me balance transfer ke liye niche ki trick follow kare.

Reliance me balance transfer ke liye sabse pehle apne mobile ke dialer open karke usme *313*3#  dial kare.

Airtel aur aircel ke jaise hi isme bhi jab aap *313*3# dial karenge to menu option open hoga.

Menu option open hone ke baad tranfer option select kar jis number par balance bhejna hai vo number aur jitna balance bhejna hai vo amount enter kar ok kar dijiye.

reliance me ok ke baad pin no. enter karna hoga. pin no. 1 enter kijiye. ab aapka balance transfer ho jayega.

Reliance me 5 se 50 rupee tak ka balance transfer ho sakta hai. reliance me balance transfer karne vale ka sim card 3 month purana aur jisme balance transfer karna hai uska sim card 1 month purana hona chahiye.

Tata Docomo To Tata Docomo Balance Transfer Trick

tata docomo to tata docomo balance transfer
tata docomo to tata docomo balance transfer


Tata docomo mobile me bhi balance transfer trick hai jise follow kar aap kisi dusre tata docomo mobile me balance transfer kar sakte hai.

Tata docomo mobile me balance transfer ke liye  message type karna hota hai. maine yaha par aapko iski method samjayi hai aur uska ek example bhi diya hai. 

Method: BT<space>receiver mobile number<space>amount iss tarike se aapko apne mobile me ek message type karna hoga.

Example: BT 9876543210 20 aisa ek message type kare. ab aapko ye message 54321 par bhejna hoga. aapka balance transfer ho jayega.

Tata docomo me 5 se 50 rupee ka balance transfer ho sakta hai. isme balance bhejne vale ka number 90 days purana aur balance pane vale ka number 30 days purana hona chahiye. 

BSNL to BSNL Balance Transfer Trick

BSNL to BSNL balance transfer
BSNL to BSNL balance transfer 


BSNL me balance transfer karne ke liye bhi aapko tata docomo ki tarah hi message type karna hota hai.

BSNL me balance transfer ke liye sabse pehle apna message box open kar usme write message ka option open kare.

Ab aapko ek message type karna hoga uski method aur example humne niche diya hai.

Method: Gift<space>receiver mobile number<space>amount apko is method ke mutabik message type karna hoga.

Example: Gift 9876543210 20 aisa ek message type kar aap 53733 ya fir 53738 par bhej dijiye aapka balance transfer ho jayega.

Aap BSNL me 5 se 50 rupee tak ka balance transfer kar sakte hai. BSNL me sender ka number 3 months aur receiver ka number 1 month purana hona chahiye.

Telenor to Telenor Balance Transfer Trick

telenor to telenor  balance transfer
telenor to telenor  balance transfer


Telenor me bhi aap balance transfer kar sakte hai. sabhi mobiles ki tarah telenor me bhi USSD code ke jhariye aap balance transfer kar sakte hai.

Sabse pehle apne mobile ka dialer open kare. apna mobile dialer open karne ke baad usme *202* dial kare.

*202* ke baad receiver ka mobile number add kare. uske baad fir se * add kar amount add kar dijiye aur # add kar dial kar dijiye aapke USSD code ki running process complete hone ke baad apka balance transfer ho jayega.

Aap jo dial karenge uski method aur example maine dono yaha par diya hai aap vo follow kar ke bhi balance transfer kar sakte hai.

Method: *202*<receiver mobile number>*<amount>#
Example: *202*9876543210*20# 

Telenor me 5 se 50 tak ka balance transfer kar sakte hai aur telenor me balance transfer ka rate 2 rupee lagta hai.


Final Words

Friends aap bhi meri post ko follow kar kisi friend ya ristedar ko balance de sakte ho ya fir usase balance le bhi sakte hai. aur agar aapko meri post achhi lagti hai apna feedback niche diye gaye comment box me jarur likhe aur ye post apne friends ke sath share kare.

0 comments:

Post a Comment