Create Facebook Account |
Hi Friends!!! ye time kya hai ye to me nahi janti lekin i wish you have a good day. Friends me aapko aaj Facebook Account Create kaise karte hai vo bataungi. Agar aaj ke jamane me kisine facebook account create na kiya ho to iska matlab hai ki vo purane jamane me ji raha hai.
Facebook pe aap kisi bhi desh ke vyakti ko contact kar sakte hai. facebook pe hum apna account create kar ke humare kisi bhi purane dost se jude reh sakte hai.
Facebook ek social networking site hai. Ajkal jaha bhi jao jab bhi social network ki baat aati hai sabke dimag me ek hi name aata hai facebook. Issi vajah se facebook puri duniya me pehle number par aane vali social networking site hai. to aaiye jante hai ki Facebook pe aap apna account kaise create kar sakte hai.
How To Create Facebook Account
Dosto iss post me mai aapko bataungi ki aap apna facebook account kaise bana sakte hai. humne iss post me facebook par account kaise banaye uske steps likhe hai jise follow kar aap apna facebook account bana sakte hai.
Steps For Create Facebook Account
Step 1 : www.facebook.com site open kare
Sabse pehle aapko google me ja kar upar batayi facebook ki site open karni hogi aap iss post me se bhi direct wo site par ja sakte hai.
Aap jab ye site open karenge to aapko ek page khulega jo kuchh iss tarah ka hoga.
facebook site |
Step 2 : Fill Information
Ab jab aap apna account create karne ja rahe hai to aapke paas koi account to hoga nahi isliye aapko apni sari information create an account likha hai uske niche se start karni hai.
Fill Information |
Aapko upar jo red color ka square kiya hai unn jagah par apni information fill karni hai.
Step 3 : Information kaise bhare
Ab jab aapko pata hai ki account create ke niche ki information fill karni hai to aaiye jante hai vo information fill kaise kare.
Your Information |
- First name box me apna name likhe
- Surname box me apni surname likhe
- Mobile number or email address box me apna email id likhe agar email nahi hai to aap apna mobile number bhi likh sakte hai.
- Fir se apna mobile number ya email address likhe.
- Uske baad password likhe. dhyan rahe password thoda muskil aur aapko yaad rahe vaisa hona chahiye.
- Apna birthday day, month aur year ke hisab se likhe.
- Apni sex choice karne ke liye male ya female ke round utton par click kare.
- Last me green button me dikh rahe create an account par click kar le.
create account |
Step 4 : Confirm account
Ab jab aapne apna khata facebook me khol hi diya hai to use confirm bhi karna hoga taki google ko pata chale ki wo gmail aap hi ka hai.
confirm mail |
Upar ki image me red circle ke andar jo confirm now ka button hai us par click kare aur apna account confirm kar le.
Step 5 : Editing Account
Aap ne apna facebook account create kar liya hai aur use confirm bhi kar liya hai ti use edit bhi kar lijiye.
editing account |
Mail confirm karne ke baad screen par niche ki taraf scroll kare aur apna profile picture add kare. photo add karne ke liye add picture vale green button par click kare aur apna man chaha photo select kar profile me add kar le.
Profile picture add karne ke baad aap apne account ka cover photo aur dusri bhi jo require information hai wo apne account fill kar sakte hai aur uske baad aap facebook pe kisi bhi country me baithe apne friend ko dhundh kar usase bate kar sakte hai.
Step 6 : log out
Ab last step hai log out ka yani ki aap facebook account create kar usme apni information dal chuke hai aur apko ab usse use karna nahi chahte to aap side me log out ka option aata hai usase apna facebook log out kar le.
Agar aapne facebook logout kar liya aur aapko fir se login karna hai to aapko fir se www.facebook.com site open karni hogi aur usme se aapko niche diye gaye image ke jaisa page open hoga usme se login karna hoga.
Fir se login kar ne ke liye facebook.com site open kar ke usme upar ki image me btaye gaye red square ke andar jo email aur password box hai usme apne jo facebook account create karte vakt rakha tha vo likhiye aur pass me diye gaye login button par click kar dijiye aap fir se apne facebook me enter ho jayenge.
Maine meri iss post me facebook account ko create karne ki sari process achhi tarike se step by step samjai hai agar aapko meri ye post achhi lagi ho to aap is post ko apne friends ke sath bhi share kar sakte hai aur apna feedback niche diye gaye comment box me likhiye.

logout facebook |

login again |

0 comments:
Post a Comment