Hello guys!!! ye waqt muje to nahi pata lekin me dil se apko good day wish karti hu. Dosto mera ye article hai How To Make Money With Blogging yani blog kaise banate hai. How To Make Money With Blogging mera ye article aapko ghar baithe internet se paise kamane ke liye bahot kaam aayega.
Aap apne aspas hi dekh sakte hai ki logo ke pas achhi skill hone ke bavjud bhi unhe job nahi mil rahi hai. dosto agar aap bhi jobless hai to mera ye article padhiye aur lag jaiye kaam par.
Iss kaam ka main benefit ye hai ki aap ghar baithe ye kaam kar sakte hai. Aapke paas sirf laptop aur ek achhi speed ka internet hona jaruri hai.
Iss article me maine ye bataya hai ki blogging kaise hoti hai. blogging ek interesting aur easy tarika hai jisase aap online paise kama sakte hai. Meri iss post me blogging ke sare steps diye gaye hai.
Blogging Kaise Hoti Hai
Blogging kaise hoti hai??? aap soch rahe hoge ki ghar baithe blogging jaise idea se kaise paise kamaye. to ye sabse aasan tarika hai ghar baithe paise kamane ka. aap ghar baithe koi bhi topic par post likh kar blogging ke jariye paise kama sakte hai.
Dosto aaiye iss post ke andar me aapko bataungi ki blogging kaise hoti hai aur iska sahi tarika kya hai. blogging do tariko se hoti hai.
- Blogger me
- wordpress me
Blogger Me Blogging Kaise Hoti Hai
Blogging ke do tariko me se ek ha blogger me blogging kaise ki jati hai. uske liye hume kya necessary hoti hai to aaiye me aapko bataungi ki blogger me blogging kaise hoti hai.
Blogger me blogging kar ne ke liye kya jaruri hota hai???
- ek gmail account
- ek laptop ya computer
- ek acchi speed ka internet