Facebook Friend Ko Block Aur Unblock Kaise Karte Hai In Hindi

Facebook Friend Ko Block Aur Unblock Kaise Karte Hai
Facebook Friend Ko Block Aur Unblock Kaise Karte Hai



Hello friends!!! Hum humari iss post me aapko ye sikhayenge ki facebook friend ko block aur unblock kaise karte hai. facebook ek aisa social media hai jise har internet user use karta hai aur uss me harroj kuchh na kuchh post dalta rehta hai.

Guys ek research me mana gaya hai ki facebook user dinbhar me minimum 23 minute tak facebook par online rehta hai. facebook par aise kai profile hai jo sirf aur sirf logo ko pareshan karne ke liye banai hai.

Agar aap nahi chahte ki koi facebook user apko follow kare, post par comment kare ya fir apko share aur like kare to aapke paas use block karne ka option hai. yahi nahi balki agar aapse galti se koi friend block ho gaya hai to aap use vapis apne friendlist me add bhi kar sakte hai.

Humne humari iss post me aapko step by step samjaya hai ki facebook friend ko block aur unblock kaise kar sakte hai.

Facebook Friend Ko Block Aur Unblock Kaise Karte Hai??


Friends jaise humne upar bataya ki aap apne facebook me unchahe facebook friends ko block karna chahte hai to aap unhe apne friendlist me se block kar sakte hai aur agar aapse galti se koi facebook friend block bhi ho gaya hai to aap use unblock kar ke fir se apne facebook friend me add kar sakte hai.

Facebook Friend Ko Block Kaise kare


Facebook friend ko block kaise karna hai vo hum ab aapko step by step batayenge. 

Step 1 : Login into facebook

Facebook ke andar kuchh bhi karna ho aapko login to hona hi padega. isliye facebook ke unchahe friends ko block karne ke liye aapko sabse pehle apne facebook me login karna hoga.

login into facebook
login into facebook

Sabse pehle aap facebook.com site open kar facebook me login kare jaise ki maine upar ki image me dikhaya hai.

Step 2 : Open your friendlist

Ab jab aapne apna facebook open kar liya hai to apna friendlist open kare. aur usme apne jis facebook friend ko block karna hai use search kar block kar sakte hai.

friend list
friend list


open friend profile
open friend profile


Step 3 : Block the friend

Apne friend list me jakar aapko jise block karna hai uska profile open kare ab apke samne ek naya page open hoga. jo ki humne niche di gai image ke jaisa hoga.

block the friend
block the friend


Step 4 : Confirm Block

Jab aap kisi friend ko block karenge to use confirm karna hoga ki aap sure hai ki aap uss friend ko block karna chahte hai.

jab aap block button par click karenge to aapko ek message aayega jisme aapko confirm button par click karna hoga aur uske baad aapki request confirm ho gayi hai aisa message aayega jisme aapko ok button par click karna hoga.

confirm block
confirm block


user blocked
user blocked

User ko block karne ke baad agar aap chahe to use unblock bhi kar sakte hai. humne humari iss post me user ko unblock karne ki bhi process di hai aap use follow kar block facebook user ko fir se apna facebook friend bana sakte hai.


Facebook Friend Ko Unblock Kaise Kare


Jaisa ki maine upar kaha ki aap apne block facebook friend ko unblock bhi kar sakte hai. lekin jab aap koi bhi facebook user ko block karte hai to aap use 48 hours ke baad hi unblock kar pate hai. aap unse 48 hours ke baad hi contact kar pate hai.

Facebook friend ko unblock kaise karna hai vo steps humne aapko niche bataye hai.

Step 1 : Open setting

Jab aap facebook me login honge to right side me upar ki taraf jo triangle dot hai uss par click kare aur vaha se setting ka option open kare. ab aapke samne ek naya page open hoga uss par me left side par blocking likha hai vaha par click kare.


blocking
blocking


Step 3 : unblock user

Aap jab blocking open karenge to block users ke niche jo bhi users block honge uske name aayege aur name ke baju me unblock ka option hoga. aap vaha se koi bhi user ko apne friend list me fir se add kar sakte hai.

User ko unblock karne ke baad ek confirmation message aayega aap vaha se uss facebook user ko unblock karna hai vo confirm kar sakte hai.


unblock
unblock

Humne upar apko step by step user ko block aur unblock karne ki vidhi batayi hai iski madad se aap apne facebook me se unchahe friends ko block kar sakte hai aur agar apse koi friend galti se block hota hai to aap use 48 hours ke baad fir se unblock kar sakte hai.

Final Words

Guys agar aapko meri ye post achhi lagi ho to isse apne friends ke sath jarur share kare aur iske related koi bhi suggestion ho to aap niche diye gaye comment box me likh kar mujhe bata sakte hai.

0 comments:

Post a Comment