Home Remedies For Hair Growth - Patle Balo ko Ghana Karne Ke Gharelu Upay

How to grow hair
How to grow hair



Balo ko jhadne, tutne aur dandruff jaisi pareshaniyon ke ilawa bhi baalon se judi ek aur pareshani hai jisase aajkal bahut se log pareshan rehte hai aur vo hai balo ka patla hona.

Baalo ko patla hone ki bahot si wajah ho sakti hai. jaise ki baalo ki achhi tarah care na karna, baalo ko jaruri poshan na milna ya fir shareer ke harmouns ka santulan na hone jaisi bahot si vajah hai jiske karan humare baal jyada tutate hai aur balo ka growth kam hone lagta hai.

Bal patle hone ke karan koi bhi hair style face par suit nahi karti hai. kuchh log iss pareshani se chhutkara pane ke liye kai prakar ke hair treatment karate hai jo mehge hote hai aur kuchh samay tak hi asardar hote hai.

Patle Balo ko Ghana Karne Ke Gharelu



Balo ko ghana karne ke upay
Balo ko ghana karne ke upay


Har insan chahta hai ki uske baal kale, ghane aur chamkile ho lekin har insan ki khwais to puri nahi hoti na isliye aapki iss pareshani ko dur karne ke liye hum apke liye iss article me kuchh khaas aur asarkark upay laye hai, jise ajma kar aap apne balo ko kale, ghane aur chamkila bana sakte hai.


Mehandi ka istemaal kar balo ko ghana kare



Mehndi for hair growth
Mehndi for hair growth


Agar aapke baal rukhe aur bejan hai to aap mehndi ka istemaal kar sakte hai, mehndi ek conditioner ka kaam karta hai. Mehndi se baal ghane aur mulayam ho jate hai.

Mehndi ka istemaal karne ke liye,

  • Pehle mehndi ko kisi bartan me ghol le.
  • Fir use 2 se 3 ghante ke liye fulne ke liye chhod de.
  • Fir use Balo me lagane se pehle ek anda(egg) and ek chammach nimbu ka ras mila le
  • Ab iss mishran ko apne balo me laga le.
  • Ab iss mishran ko apne balo me 2 ghante tak rehne de.
  • Ab apne balo ko thande pani se dho le.

Curd aur Eggs (dahi aur anday) se balo ko ghana kare 


Curd and Eggs
Curd and Eggs


Jab kabhi bhi hum bahar jate hai tab humare sath sath humare balo ko bhi pollution aur dhup ka samna karna padta hai.

Dhup aur pollution ki wajah se humare bal rukhe aur bejan ho jate hai jiski wajah se bal kamjor ho ke tutne lagte hai.

Kamjor aur bejan balo par hum agar dahi aur anday ko milakar apply karenge to humare baal mulayam aur strong rehte hai.


Tel Malish kar balo ko strong banaye



Oil Massage
Oil Massage 


Tel malish humare balo ke liye bahut jaruri hoti hai. tel humare balo ke liye bahut fayde mand hota hai.

Hafte me kam se kam do baar balo me tel malish karna chahiye. isase balo ka jhadna kam hota hai aur baal ghane aur majboot bante hai.


Sahi aahar hai jaruri



Diet for hair growth
Diet for hair growth


Pollution aur dhool mitti ki vajah se humare baal rukhe aur bejan ho jate hai. kabhi kabhi to hum life me itne busy ho jate hai ki hume apne sahi aahar yani sahi diet ka bhi khayal nahi rehta.

Khane pine ki kami ki wajah se bhi humare baal bejan ho jate hai aur jhadne lagte hai. isliye aapko apne balo ko ghana karne ke liye apne diet par dhyan dena jaruri hai.

Humare balo ko vitamins, minerals aur proteins vale diet ki jarurat hoti hai. balo ko ghana karne ke liye aap gajar, amla, oats, salad aur mausam ke mutabik healthy diet lijiye.


Aloevera Gel



Aloevera gel for hair growth
Aloevera gel for hair growth


Jab hum ghar se bahar hote hai to pollution, dhup aur dhool mitti ke karan humare sir ke baal bejan aur damage ho jate hai. 

kabhi kabhi hum khule balo ke sath bahot der tak dhup ya hawa me rehte hai tab humare baal bejan se aur damage ho jate hai aur baal jhadne lagte hai.

Damage aur bejan balo se chhutkara pane ke liye aloevera gel ka istemal kare. aloevera gel se apne balo me massage kare.

Agar aap hafte me do baar aloevera gel se massage kare. massage karne ke baad do ghanto tak balo ko vaise hi rehne de aur do ghante bad gungune pani se balo ko dho le.

Aloevera gel massage se balo ka growth badhata hai aur baal ghane aur majboot bante hai.


Amla, ritha and shikakai se badhaye hair growth



amla, ritha and shikakai for hair growth
amla, ritha and shikakai for hair growth


Balo ko kale aur ghane banane ke liye aap amla, ritha aur shikakai ka istemal kar sakte hai.

Amla, ritha aur shikakai ka istemal karne ke liye,

  • Pehle ritha aur shikakai ko raat bhar pani me bhigo kar chhod de.
  • Alag se amla ko bhi pani me fulne ke liye chhod de.
  • Fir ritha aur shikakai ke mishran ko achhe se paani me mix kar de.
  • Fir us mishran vale paani ko baalo ke jhado me achhe se laga le.
  • Ek ghante baad apne balo ko achhe saaf pani se dho le.
  • Fir amla se baalo ko saaf kare ye shampoo ka kaam karta hai.
Yaad rahe aamla ko kabhi bhi ritha aur shikakai ke sath me na milaye kyonki isase bal ghane hone ki bajay bejan aur rukhe ho jate hai. 

Sarso tel ka istemal kare



mustard oil for hair growth
mustard oil for hair growth


Balo ke liye bahot sare tel bazar me milte hai aur aam taur par log balo me massage coconut oil se karte hai. par coconut oil se jyada sarso ka tel yani mustard oil jyada fayde mand hai.

Baal ko shampoo karne se pehle mustard oil se baalo ko massage kare aur fir kam se kam 2 ghante tak rehne de aur fir baad me shampoo kar baal achhe se dho le. aisa karne se baal ghane aur majboot bante hai.


Methi ka upyog se baal ghane banaye



Methi for hair growth
Methi for hair growth


Kai baar balo ko tutne ka karan dandruff ki samsya bhi ho sakti hai. Dandruff hatane ke liye bazar me kafi sare shampoo bhi aate hai.

Shampoo ke ilawa bhi methi ke upyog se aap apne baalo se dandruff hata sakte hai. methi ka upyog karne ke liye,

  • Methi ko ratbhar pani me bhigo kar use fulne ke liye chhod de.
  • Subah Methi ko achhe se pis le.
  • Uss me do chammach coconut oil mila le.
  • Ek chammach nimbu ka ras mila le.
  • Iss mishran ko achhe se mix karke apne baalo ki jhad me lagaye.
  • 1 ghante tak apne baalo ko aise hi rehne de.
  • 1 ghante baad apne balo ko halke gungune pani se dho le.
  • aisa karne se dandruff chala jayega aur baal bhi ghane aur mulayam ho jayenge.

Conditioner balo me shining laye



Conditioner
Conditioner


Conditioner aapke Balo ko mulayam aur chamkila banata hai. conditioner se baalo me shining aati hai.

Balo me shampoo karne ke baad Conditioner lagaye aur dhyan rahe ki conditioner ko balo ki jhado se 1 se 2 inch ki duri se lagaye.

Conditioner lagate waqt dhyan rahe ki conditioner balo ki jhado me na jaye kyonki isse balo me chemical jata hai aur baal jyada tutate hai.


Chemicals se dur rahe



No Chemicals
No Chemicals


Balo me bahot jyada chemicals ka prayog nahi karna chahiye. Ajkal market me baalo ki treatment ke liye bahot sare product milte hai.

Baalo ko rangne ke liye, baalo ko sidha karne ke liye, balo ko ghughrala karne ke liye aaj kal market me bahot sare chemicals milte hai aur beauty care me bahut mehnge dam me ye treatment hoti hai.

Aise chemicals ka balo me prayog karne se baal rukhe aur bejan se ho jate hai aur jhadne lagte hai. isliye aise chemicals ko avoid kare.


Potato juice (aaloo ka ras) se kare bal ghane 



Potato juice for hair growth
Potato juice for hair growth


Aaloo me vitamin A, B aur C hote hai jo humare baalo ke liye bahut jaruri hota hai. Aaloo ka ras humare baalo ke liye asarkark ilaj hai.

Aaloo ke ras ko baalo me apply karne ke liye aaloo ka ras nikal kar apne baalo me direct apne baalo par apply kare aur 15 minute tak baalo ko aise hi rehne de. 

Ab apne baalo ko halke gungune saaf paani dho le. aisa karne balo ko majbooti milegi aur baal ghane hote hai.


Tanav se dur rahe



Tanav se dur rahe
Tanav se dur rahe


Tanav har insan ke liye buri cheez hai. Tanav ki asar balo par bhi hoti hai. Tanav se baal jhadne lagte hai aur safed ho jate hai. 

Jyada tanav se aapke baal bhi jyada jhadte hai isliye tanav se bache. tanav se bachne ke liye aap yoga aur exercise kar sakte hai.


Olive Oil(jaitun ka tel) se balo ko ghane banaye



Olive Oil
Olive Oil


Jaitun jitna hi khane ke kaam aata hai utna hi baal aur tvacha ke kaam bhi aata hai. Bazar me alag alag oil ke sath ye olive oil bhi aapko mil jayega.

Olive oil ko balo me apply karne ke liye use thoda garam kar le, fir apne baalo me achhe se massage kar le aur adhe ghante baad apne baalo me shampoo kar baalo ko achhe se dho le.

Aisa karne se baal ghane hone ke sath sath kale aur chamkile bhi hote hai.


Coconut Oil ka istemal kare


Coconut Oil
Coconut Oil


Coconut Oil humare baalo ke liye bahut hi asarkark mana jata hai. Balo ko ghana banane ke liye aur jhadne ke bachane ke liye har roj ya fir hafte me do baar Coconut oil ka prayog kijiye.

2 Chammach nimbu ka ras 4 chammach coconut oil me milakar apne balo me lagaye. aur 1 ghante baad shampoo kar baalo ko dho le.

Aisa hafte me do baar ya harroj karne se jald hi patle balo se nijaat milti hai.


Pyaaz ke ras se balo ko ghana kare 


Pyaaz ka ras
Pyaaz ka ras


Pyaaz ka ras baalo ko ghana karne ka ek aisa prayog hai jisase aap easily try kar sakte hai.

Pyaaz ke ras me salfar hota hai jo sir ke tantu me collagen ki utpatti ko protsahit karta hai aur jis se balo ko ghane karne me help milti hai.

Pyaaz ko piskar iska ras nikalkar baalo ki jhad tak lagaye aur 10 se 15 minute rakh kar baalo me shampoo kar baal dho le.


Balo ko ghana karne ke liye extra tips  


Balo ko ghana karne ke liye upar bataye gaye tips follow kijiye jisase aapke baal ghane ho jayenge lekin kuchh extra tips hai jinhe follow kar aap apne ghane baalo ko sambhal sakte hai.

  • Kadi dhup se balo ko bachaye.
  • Rojana balo me shampoo na kare.
  • Khub matra me pani piye.
  • 10 se 15 minutes exercise kare.
  • Alag alag hair product use na kare. 

0 comments:

Post a Comment