Chehre Se Makeup Nikalne Ke Gharelu Upay


Home remedies to remove makeup
Home remedies to remove makeup



Makeup lagana har mahila ko pasand hota hai. aur aaj kal to ye pasand mahilayo ki necessary bhi ban chuki hai. inhe shadi me, party me, office kahi bhi jana ho ya fir koi tyohar ya chota mota function ho mahilaye apne aap ko sundar dikhane ke liye make up karti hi hai.

Mahilaye make up ki taraf jyada attractive isliye hoti hai kyonki make up unki sundarta aur khubsurti ko jyada nikharta hai.

Mahilaye chehre par aankhe aur hotho par bhi makeup apply karti hai aur aankhe chehre ka bahot hi najuk part hai vaha side effect jaldi ho jati hai isliye aapko make up nikalna jaruri hota hai.

Makeup Nikalne Ke Gharelu Upay


Makeup hatane ke gharelu upay
Makeup hatane ke gharelu upay


Jitna jaroori mahilayo ke liye make up lagana hai utna hi jaroori make up ko nikalna hota hai aur make up ko agar na hataya gaya to vo aapke liye kafi sari samsya bhi paida kar sakta hai.

Iss article mein humne aapke liye kuchh aise gharelu nuskhe diye hai jisase aap apna make up asani se nikal payegi. 


Olive Oil Se Chehre Ka Makeup Nikale


Olive Oil For Remove Makeup
Olive Oil For Remove Makeup


Make up utarne ke liye olive oil bahot hi faydemand hota hai. Sukhi ya sensitive skin vale logo ko make up utarne ke liye olive oil bahot hi faydemand hai.

jaitun ke tel ka prayog karne ke liye 2 chammach olive oil me aadha chammach pani mila le. iss mishran se halke hatho se apne chehre par malish kare.

Make up nikalne ke liye olive oil ka prayog karne se aapka make up asani se nikal jayega.


Vaseline Se Nikale Apna Makeup 


Vaseline For Remove Makeup
Vaseline For Remove Makeup


Vaseline ka upyog humari aankhe ka make up utarne ke liye bahot achha hota hai aur adhik hota hai.

Vaseline ka prayog karne ke liye aankho ke paas thoda vaseline lagaye aur ise dhire dhire male. 

Aisa karne se ankho ka makeup nikalne lagega. jab aankho ka makeup nikal jaye tab apni skin se vaseline ko pura saaf kar de. 


Baby Oil Se Hataye Apna Makeup


Remove Makeup From Baby Oil
Remove Makeup From Baby Oil


Baby oil sabse jyada mascara hatane ke liye kiya jata hai. agar aap eyes makeup ke liye mascara ka istemaal karte hai to use nikalne ke liye kar sakte hai.

Mascara hatana sabse mushkil hai is liye aap baby oil ka istemaal karke eye lashes se mascara hata sakte hai.

Mascara ka prayog karne ke liye thoda cotton le aur us par thodi baby oil ki bunde dale aur ab iss cotton ki madad se mascara ko nikal ne ki koshish kare.

Baby oil se aap mascara ke ilawa bhi apne pure chehre ka makeup bhi saaf kar sakte hai. 

Jab makeup saaf ho jaye tab ek saaf kapde ko gila kare aur chehre ko uss kapde se pochh le isse aapke chehre par bacha hua makeup bhi nikal jayega. 


Steam(bhaap) Se Hataye Makeup 



Steam For Remove Makeup
Steam For Remove Makeup


Steam yani bhaap ke prayog se hum apne chehre par lage makeup ko asani se nikal sakte hai.

Bhaap lene ke liye kisi bade bartan me thoda paani daale aur use garam kare aur use tab tak garam kare jab tak usme se bhaap na nikalne lage.

Ab iss pani ke upar apne chehre ko laye. isase chehre ke rom chhidra bhi khul jate hai aur chehre ka makeup bhi saaf ho jata hai.


Dudh(Milk) Ka Upyog Kar Hataye Makeup



Milk For Remove Makeup
Milk For Remove Makeup


Dudh ke prayog se eyes ka makeup asani se saaf kiya ja sakta hai. dudh sabse achha natural makeup remover hai. dudh se aapki tvacha bahot achhi tarah se saaf ho jati hai.

Dudh ka prayog karne ke liye kisi bartan me thoda kachcha dudh le. Ab iss dudh me thodi rui dale. ab iss rui ki madad se apne aankho par laga kajal, mascara aur eyeliner ko nikale.

Ab rui ko gungune pani me dalkar aankho ko saaf karde isase apka aankho ka makeup asani se saaf ho jayega.


Baby Lotion Se Hataye Apna Makeup



Baby lotion for remove makeup
Baby lotion for remove makeup


Dudh ki hi tarah aap baby lotion ko bhi apna makeup hatane ke liye istemaal kar sakte hai.

Baby lotion ka prayog karne ke liye aap achhi quality ke lotion ka upyog kar sakte hai.

Baby lotion se makeup hatane ke liye aap baby lotion ko rui ya suti kapde par lagakar apni aankho ki palko par lagaye.

Iss prayog se aap khud mehsoos karoge ki iss tarike se aap kitni asani se makeup ko nikal sakenge.


Honey And Baking Soda Ka Istemaal Kare



Honey and baking soda for remove makeup
Honey and baking soda for remove makeup


Kisi bhi tarah ke makeup ko utarne ke liye honey aur baking soda ke mishran ko sabse jyada pasand kiya jata hai.

Iss mishran ka prayog karne ke liye ek saaf kapda le aur us par thoda sa shahad dal le. ab shahad ke upar thoda sa baking soda chhidak kar makeup ko utarne ki koshish kare.

Iss mishran ka prayog makeup utarne ke liye bahot hi achha hota hai isase na to dard hota hai aur na hi tvacha pe kisi prakar ka nuksan hota hai.


Gulabjal Se Hataye Makeup 



Rose water for makeup removal
Rose water for makeup removal


Gulabjal ki madad se bhi aap apne chehre ka makeup hata sakte hai. Gulabjal ko makeup hatane me istemaal karne se makeup bhi hat jata hai aur chehre ki dhul mitti bhi saaf ho jati hai.


Gulabjal ka prayog karne ke liye 2 chammach gulabjal me thodi si bunde nimbu ke ras ki dale. iss mishran ko achhe se milakar chehre ka makeup nikal le.

Humare chehre ke sath sath aankho ka makeup bhi hatana hota hai isliye dhyan rahe ki aankho ke makeup ko nikalte waqt gulabjal me nimbu ka ras na milaye kyonki hamari aankhe bahut hi sensitive hoti hai aur nimbu ke ras se nuksan bhi ho sakta hai.

gulabjal ke prayog se aap asani se apna makeup hata sakte hai.


Tomato Ke Istemaal Se Nikale Makeup



Tomatoes for remove makeup
Tomatoes for remove makeup


Tamatar makeup nikalne ke liye kafi kargar upay hai. Tomato se makeup asani se nikal jata hai.

Tamatar ka prayog karne ke liye tamatar ko chhil kar use beej nikal le aur isse pis kar iski paste bana le. ab iss paste ko lep ke jaise apne chehre par lagaye.

Tamatar ke prayog se kisi bhi prakar ka cream ya fundation achhi tarah se nikal jata hai.


Caster Oil Ki Madad Se Hataye Makeup 



Caster oil for makeup remover
Caster oil for makeup remover


Caster oil bhi makeup hatane ke liye bahut achha hota hai. caster oil se bhi asani se makeup nikal jata hai.

Caster oil se makeup nikalne ke liye ek cotton ball le aur use coaster oil me dubo kar pure chehre par apply kare. isase aapke chehre ka sara makeup nikal jayega.


Malai Ka Istemaal Kare



Milk cream for remove makeup
Milk cream for remove makeup


Malai se bhi achhi tarah se makeup nikal jata hai. agar aapki tvacha oily hai to aapko malai ka istemaal nahi karna chahiye.

Jin logo ki tvacha normal hai unhe malai ka prayog karne ke liye thodi si malai apni hatheli par le. aur uske baad achhi tarah se malai ko ungli se ragad de aur chehre par laga le.

Pure chehre par malai ko malane ke baad rui se pochh le. aisa karne se tvacha ki narmi ko barkarar rakhte hue sara makeup nikal jayega.

Aur baad me apna face gungune pani se dhokar pochh le.


Dahi Se Hataye Makeup



Curd for removing makeup
Curd for removing makeup


Dahi ghar me sabse aasan tarike se milne vali vastu hai. Makeup utarne ke liye dahi ko bhi makeup ki tarah hi istemaal kiya jata hai.

Dahi ko istemal karne ke liye thoda sa dahi apni hatheli par le aur use apni ungli se ghis le yani ragad le.

Ab iss ragade hue dahi ko apne chehre par apply kare. apne pure chehre par dahi ko mal le aur fir rui se pochh le.

Chehre se dahi ko pochh ne ke baad apna chehra gungune pani se dho de isase tvacha par narmi rakhte hue sara makeup nikal jayega.


Cucumber Juice(Kheere Ka Ras) Se Makeup Ko Saaf Kare



Cucumber juice for remove makeup
Cucumber juice for remove makeup


Cucumber juice yani kheere ka ras bhi chehre ke makeup ko hatane ke liye kafi kargar hai.

Cucumber juice ka prayog karne ke liye ek kachche kheere ko pis kar uski paste bana le aur fir use nichod kar uska ras nikal le.

Cucumber ka ras nikalne ke baad ek cotton ball ko uss ras me bhigo kar apne chehre par apply kare.

Cucumber juice se makeup asani se hat jata hai aur aapki tvacha bhi chamkne lagti hai.


Humare iss article mein humne makeup hatane ke asan aur gharelu upay bataye hai jisase aapka jyada kharcha bhi nahi hoga aur aap apni skin ke mutabik koi bhi gharelu upay ajma sakte hai.  


0 comments:

Post a Comment