17 Tarike Internet Se Paise Kaise Kamaye In Hindi

Make money online



Internet se paise kaise kamaye ??? Aaj ke jamane me ye sawal har kisi ke man me aata hai kyonki aaj kal internet puri duniya me apna vistaar kar raha hai.

Agar aapko internet ki thodi bahot bhi jankari hai to aap ghar baithe internet par business kar aap paise kama sakte hai.

Aap ek bhi paisa kharch kiye bagair internet se ghar baithe paise kama sakte hai.

Koi bhi insaan ghar baithe internet par paise kama sakta hai. Blogging, singing, data entry, teaching, writing, music or sell product jaise bahut se kaam aap online kar sakte hai aur paise kama sakte hai.

Internet se paise kamane ke tarike



Internet se paise kamane ke tarike


Agar aap bhi internet se paisa kamana chahte hai aur google pe iske bare me search kar rahe hai to aaj aapko humare iss article me vo sari chize mil jayegi jisase aap internet se ek bhi paisa kharch kiye bagair ghar baithe paise kama sakenge.

Agar aap google pe bhi search karoge ki internet se paise kaise kamaye to aapko already vaha par bahut se aise topic mil jayegi kyonki ye topic bahot se log internet par search karte hai.

Iss article hum aapko bahot sare tarike batayenge jise padhkar aap aasani se paise kama sakenge aur aapko iske alava koi bhi article padhane ki jarurat nahi padegi. 

Aaiye jaante hai internet se paise kamane ke liye kya kya karna padta hai.

Internet se kis tarah paise kamaye ja sakte hai???


Internet se paise kamane ke liye bahot sare way hai par isme kuchh legal hai to kuchh illegal.

Ghabraiye mat kyonki iss article me online paise kamane ke liye jo bhi ways bataye hai wo sabhi legal hai.

Hum jo bhi kaam karte hai usme mehnat to karni hi padti hai kuchh kam me shareer ki mehnat lagti hai to kuchh kam me dimag ki mehnat lagti hai.

Online paise kamane ke liye hume dimag par thoda jor dena padta hai yani ki dimag ki mehnat se hum paise internet se paise kama skte hai.

Internet par humari mehnat ke mutabik hi humari income hoti hai aap jitni mehnat achhi karenge utni hi achhi aapki income hogi.

Internet se paise kamane ke liye kya kya hona hai jaruri 


Online yani internet se paise kamane ke liye humare paas kuchh chize honi jaruri hoti hai jaise ki, 
  • INTERNET KI BASIC JANKARI yani hame internet access karna aana chahiye.
  • ENGLISH padhna likhna aur samjhna aana chahiye.
  • Humare andar paise kamane se jyada LEARNING ATTITUDE hona jaruri hota hai.
  • Internet par koi bhi account start karne ke liye apke paas ek GMAIL ACCOUNT hona bahut jaruri hai.
  • Aap jo bhi paise kamate hai vo ab aapko ghar par to dene nahi ayenge isliye aapka BANK ACCOUNT hona jaruri hai taki kamaye hue paise sidhe bank me jama ho.
  • Aapke paas ADSENSE ACCOUNT hona bhi jaruri hai kyonki adsense ek ads network hai.
  • Aapko money transferring service ke liye ek PAYPAL ACCOUNT hona bhi jaruri hai.
  • LAPTOP aur INTERNET DATA hona bhi jaruri hai jisase aap internet par jaha chahe vaha par kaam kar sakte hai.


Internet se paise kamane ke tarike


Iss article me internet se paise kamane ke 17 legal ways diye gaye hai jisase aap ghar baithe aasani se paise kama sakte hai.


1) Blogging Kar Ke Online Paise Kamaye



blogging kare


Blogging yani aap website banakar paise kama sakte hai. Blogging ghar baithe paise kamane ka sabse best online tarika hai.

Blogging ek aisa tarika hai jisme paise kamane ka koi bhi hisaab nahi hai jisme hume apne interest ke hisab se kaam karna hota hai.

Blogging ke liye aapko ek achha laptop, achhi speed vala internet aur ek gmail account chahiye.

Blogging se aap bilkul free me paise kama sakte hai. blogging me aapko ek blogger me apna ek blog banakar usme apne interest ke hisab se koi bi subject par content likh kar post kar dena hai.

Apne post ko publish karne ke baad jab usme 400 se 500 visitors ho jate hai tab apne blog me google adsense join kar le.

Adsense me aapke content par advertisement dikhti hai aur jitne log uss par click karte hai utni aap ki kamai hoti hai.

Aapke dimag me jarur yeh sawaal aata hoga ki aapki jo bhi earning hogi vo aapko kaise milegi???

Iska simple sa answer hai ki aapki earning aapko google wire transfer ke jariye apke bank account me send karegi.

Iss tarah se blogging yani simple word me kahe to website banakar aap online yani internet se paise kama sakte hai. aur agar aap blogging kar rahe hai to aapko English aur SEO ki jankari honi jaruri hoti hai.


2) YouTube Se Paisa Kamaiye



make money from youtube


Youtube par aapne video to dekhe hi honge magar kabhi socha hai ki jo log ye videos youtube par upload karte hai unhe milta kya hai to aapke janane ke liye me bata deti hu ki unhe bhi google hi paise deta hai.

Youtube par video upload kar ke aap bhi dusro ki tarah ghar baithe baithe paise kama sakte hai.  

Aapko thoda ajeeb lagega par ye sach hai ki aap you tube par video upload kar ke bhi paise kama sakte hai.

Aapke paas mobile, laptop, tablet aur computer aapke paas jo bhi hai aap usase apna youtube account banakar uspe video upload karke paise kama sakte hai.

Aapke man me ab same blogging ki tarah hi sawal paida ho raha hoga ki you tube income hoti kaise hai. to aapke janane ke liye me keh deti hu ki you tube se bhi blogging tarah adsense se hi income hoti hai.

Youtube par aapko video upload karke monetize karna hoga aur fir google adsense se aapko video ko connect karna hoga. 

Youtube video ko aap jitna adhik social sites par share karenge utna aapka video popular hota hai.


3) Online Teaching Kar Paise Kamaye



Teach online


Aap soch rahe hoge ki online teaching kaise ki ja sakti hai par aisa hai aap internet se padha bhi sakte hai.

Agar aap kisi ko achhe se padha sakte hai aur aapki padhane ki method achhi hai to aap ek achhe online teacher ban sakte hai.

Teaching karne ke liye aapko skillshare site par aapko registration karna hota hai aur jab aap iss site par sign up kar lenge to aap kis topic par padhana pasand karenge vo bhi select karna hoga. 

Aap ko kis topic par padhana hai vo aapki pasand hogi. aapko jis subject me jyada interest hai aur jis subject par aapki padhane ki method sabse achhi hai aap unn par padha sakte hai.

Skillshare ke ilawa bhi ek udemy site hai jin par aap online teaching karke paise kama sakte hai.


4) Online Author Banake Paise Kamaye



become online author


Agar aap ek achhe lekhak hai aur aapko likhne ka shauk hai to uss saukh se aap man chahe paise bhi kama sakte hai aur vo bhi ghar baithe baithe. 

Ji ha friends agar aapke andar bhi ek lekhak chhupa hai to uss talent ka sahi jagah par istemaal kar ke aap ghar baithe kamai kar sakte hai.

Aapke andar jo bhi likhna jante hai jaise ki story, chutkule, shayari, poem, history aisa kuchh bhi likhna jante hai to aap apne talent ko waste na karke sahi jagah apply kare.

Agar hum ek baar book likh chuke hai to use bechne ya promote karne ke liye kahi bhi jane ki jarurat nahi hai. aap ghar baithe apni book ko online promote kar sakte hai.

Agar aap online writing karna chahte hai to aap ebook create kar sakte hai. aap PDF ya other format me book likhkar use online publish kar sakte hai.

Pothi aur Ebook jaisi dusri sites bhi hai jinpe aap online author ban sakte hai aur ghar baithe earning kar sakte hai.


5) Online Coding Job Kare



Online coding job


Agar aapko coding aati hai aur aap ek achhe programmer hai to aap online coding karke bhi aap ghar baithe paise kama sakte hai. 

Freelancer.com website par aap apna coding project submit kar sakte hai. aap kisi bhi ek project par coding language banakar use freelancer.com website parsubmit kar dijiye.

Aapka project jitna achha hoga aap utna jyada kama sakte hai. Aap android apps banakar bhi paise kama sakte hai.

Programming se aap ghar baithe desktop ya laptop ki madad se 12000 se 15000 rs per month kama sakte hai.


6) Template Design Kar Paise Kamaye



designing templates


Blogging tarah hi template designing bhi internet se earning ka bahot achha tarika hai. website owner aur kisi bhi blogger ko achhe themes aur achhe template chahiye hota hai.

Agar aap blog use karte hai to aapne bhi kahi se template download kiye honge. to aapko pata hi hoga ki free template ke saath achhe template bhi hote hai jinke price rate kuchh 50$ se 100$ tak hote hai.

aur bahut si site par to 300$ tak bhi template milte hai aap templates ke ideas ke liye mythemeshop site dekh sakte hai.

Agar aapko javascript, php, html aur css jaisi coding languages aati hai to aap bhi ye kaam karke paise kama sakte hai.


7) Online Translator Bankar paise kamaye



translator job


Agar hum koi bhi 2 language achhi tarah se jante hai aur un dono language ka ekdusre me translate kar sakte hai to dosto hum ek achhe online translator ban sakte hai.

Aap bhi agar online translator banana chahte hai to aap translatorsbase.com site par aap online transalator ka kaam kar sakte hai.

Aisi bahut si websites hai jispe aap online translator ka kaam kar sakte hai. yeh sites aapko kuchh book ya article degi jisase aap ghar baithe kaam kar sakte ho.

Aap online translator ke kaam se per day 600 se 700 rs kama sakte hai. aapko apka paisa cash ya check ke dwara mil jayega. sabhi companies alag alag tarike se paisa pay karte hai.

8) Online Magazine Start Kare 



online magazine jobs


Me aapko pehle hi option me blogging ke bare me to bata hi chuki hu. ye online magazine bhi ek tarah ka blogging hi hai.

Online magazine ka business mostly women ke liye hai. Agar aap daily post karna nahi chahte to aap online magazine weekly ya monthly post kar sakte hai.

Aap write na karte hue aap apni site par pictures aap magazines bhi release kar sakte hai. aap magazine ke liye badiya si pictures collect karke apni site bana sakte hai.

Online magazine job vaise to bilkul blogging ki tarah hi hai lekin aapko isme roj roj ke kaam se chhutkara mil jata hai.

Aap ko online magazine start karne ke liye apko sirf badiya se badiya photo upload karni hai.


9) Complete Online Survey


complete online survey


Dosto aap online survey complete kar ke bhi ghar baithe paise kama sakte hai. internet par aisi bahut si sites hai jo online servey complete karne ke aur ads dekhne ke liye paise deti hai.

Internet par aisi bahut si sites hai jo aapko promotion karne ke yani unki ads ya servey ki link facebook ya twitter jaise social media se share karne ke paise deti hai.

Online survey completion se aap ghar baithe per day 100$ kama sakte hai. Aapke paas jitna traffic hoga aap jitne logo ko inn sites pe connect karoge aapko utni hi achhi kamai hogi.

Aapko ek survey complete karne ke liye time diya jayega aur aap uss time se pehle apna servey submit kar dete hai to aapko per servey 2$ se 10$ tak milte hai.


10) Make And Sell Music Ringtones


make and sell music online


Agar aap ek achhe sangeetkar hai to aap apna music banakar use internet par bech sakte hai. Internet par kuchh websites aisi hai jis par aap apna music bech sakte hai.

Amazon aur google play jaisi bahot si website hai jis par aap apni aavaj me music record kar bech sakte hai aur paise kama sakte hai.
Iske alava bhi distrokid aur loudr jaisi website hai jin par aap music aur ringtones bech sakte hai.

Aapka banaya hua sangeet ringtones aur vigyapan ke liye kharida ja sakta hai aur aapko uske paise bhi milenge.


11) Create Post And Sell To Bloggers


Agar aapko earning par hi dhyan dena hai to aap apna content likhkar kisi professional blogger ko bech sakte hai.

Agar aap achhe se kisi bhi topic par likh sakte hai to aap kisi professional blogger ke contact me rehkar use apne likhe content bech sakte hai.

Aap apne words me content likhenge aur wo kisi professional blogger ko pasand aa jayega to vo aapko per content paise deta hai.


12) Sell Old And New Products



Sell old and new products


Aap online paise kamane ke liye purana aur naya saman bhi bech sakte hai. internet par aisi sites hai jis par aap saman bech sakte hai.

Ghar me purana saman ho aur apko uski jarurat na ho to aap vo saman ka photo click karke use kitne me bechna hai ye tay kar ke aap use internet par sell product ki jo bhi sites hai usme se kisi ek par daal sakte hai.

Online saman bechne ke liye OLX, quikr jaisi bahot si sites hai jisme aap apne unnecessary ka saman bech sakte hai.

Online saman bechne ke liye aapko itna jarur yaad rakhna hoga ki aapko jo saman bech rahe hai wo aapki unnecessary ka ho lekin dusro ki necessary ka hona chahiye aur photo dekhte hi user use kharid le aisa hona chahiye.


13) Social networking sites se paise kamaye 



social sites for make money


Aap ghar baithe social sites jaise ki facebook, twitter aur whatsapp jaisi social sites par paise kama sakte hai.


Aap ab ye soch rahe honge ki social sites se paise kaise kamate hai. lekin ye sach hai internet par kai aisi websites hai jo aapko social sites par link share karne ke paise deti hai.

Bahot sari aisi website hai jo aapko social sites aur online platform par apni link share karne ke paise deti hai.

LinkShrink.net, linksert.com, spaste.com, al.ly jaisi bahut si sites hai jispe aapko apna account banana hoga aur wo jo bhi link degi use aapko facebook, twitter jaisi social sites par share karna hoga.


14) Mobile Apps Banakar Paise Kamaye



make mobile apps


Guys agar aapko apk application banane ka knowledge hai to aap kisi bhi content ki ya koi bhi subject ki android application bana sakte hai.


Application se paise kamane ke liye sabse pehle application banaye aur use google playstore me submit kara de. aur fir google ka adsense account banaye.

Application jab google playstore me submit ho jaye tab iske admobi ke sath adsense account banakar join kar le. ab admobi ki ads apke application par show hogi.

jab bhi koi iss application ko apne mobile me install karega tab ads uss application par show hogi aur jab bhi koi ads par click karega tab aapko paise milenge.


15) Affiliate Marketing Se Paise Kamaye



Affiliate marketing for make money


Affiliate marketing ka matlab hai ki dosto aap kisi bhi products company se join kar uss company ke products ki online advertising kar sakte hai.

Amazon, snapdeal jaisi bahot sari product companies hai jisase jud kar aap unki products ki online advertising kar ke paise kama sakte hai.

Aap jab inn product companies se judenge to ye product companies unki kuchh links aapko degi jo aapko apne whats app, face book aur apne blog par share karke advertising kare.

Jab log aapki links ke through product kharidenge to aapko uska commission milega aur iss tarah se aap bahot sari product link ke through bechkar paise kama sakte hai.


16) Review And Test Websites & Blogs 


Blog banana bahot hi easy hai fir bhi time ki kami ke karan ya fir koi bhi karan se log ye kaam dusro se karvate hai aur uske paise dete hai.


Dosto agar aap blog banana jante hai to aap blog banake bech sakte hai aapko iske bhi order milenge aur aap paise kama sakte hai.

Ek blog banake bechne se aap 500 se 5000 per blog kama sakte hai.


17) Domain Name Selling



domain name selling


Godaddy.com ek aisi website hai jisme aapko register karke domain kharidna hoga. domain free me nahi milta isliye aapko domain paise dekar kharidna hoga.

Aap jab domain kharidenge aur kisi website bananevale ko iss domain name ki jarurat hogi to aap use jyada paise lekar ye domain de sakte hai.

Aap buy and sell domain se bhi kafi paise kama sakte hai.


Final Words


Dosto upar diye gaye online paise kamane ke tarike legal hai aur aap inn sabhi tariko se kafi paise kama sakte hai agar aapko humara ye article padhakar achha laga ho to niche diye comment box me apna feedback likhiye aur ye article apne dosto se bhi share kare.

0 comments:

Post a Comment