Iss duniya aajkal jitne log apna vajan ghatana chahte hai utne hi log apna vajan badhana bhi chahte hai weight loss karna jitna easy nahi hai utna hi weight gain karna bhi easy nahi hai.
market me vajan badhane ke liye kai sari allopathy, ayurvedik aur homeopathy jaisi medicines products available hai jisase aap chand dino me apna vajan badha sakte hai, par ye sari davaiyo se aapka vajan to teji se badh jayega magar apko inn sab ke side effects bhi hote hai. isliye behtar hai ki hum inn sab produts ka istemaal na kare.
vajan na badhne ke kai sare reasons hote hai jaise mahilayo me periods me jyada bleeding hona, tanav jyada rehna, puri nind na lena inn sab ke karan apka vajan badh nahi pata hai isliye apko naukri, sadi jaise jagah par reject kiya jata hai aur aap behad sharmindgi mehsoos karte hai.
![]() |
Vajan badhane ke upay |
Teji Se Vajan Badhane Ke Tarike (Tips for fast weight gain in hindi)
Apko apna vajan badhane ke liye market me milne vali koi bhi mahengi medicines ya koi aur products purchase karne ki koi jarurat nahi hai. aap ghar bethe apna vajan badha sakte hai aur aapko jarurat hai to sirf patience ki, agar vajan badhana hai to aapko thoda patience rakhna hoga.
Niche bataye gaye tips follow kar aap apna vajan badha sakte hai.
Paani jyada piye
![]() |
Drinking water |
Paani jyada pina vajan badhane aur vajan ghatane dono ke liye achha hota hai isliye aap apna vajan badhana bhi chahte hai to apke shareer me paani ki kami nahi honi chahiye. samanya insaan ke liye pratidin 10 se 12 gilas yani 3 se 4 litre pani pina jaruri hai.
Nind puri kare aur tanav mukt rahe
![]() |
Complete sleep |
Agar aap apna vajan badhana chahte hai to apko pehle tanav mukt rehna jaruri hota hai. har normal insan ko puri nind lena jaruri hota hai. agar ap apna weight gain karna chahte hai to kisi bi prakar ka tension na lekar puri nind lene jarurat rakhiye. weight badhane ke liye 7 se 8 ghante ki nind leni jaruri hai. agar ap dophar ko free rehte hai to dophar ko bhi 2-3 ghate so jana chahiye.
Dudh aur ghee ka sevan kare
![]() |
Drinking milk |
Vajan badhane ke liye dudh aur ghee ka sevan bahot achha hota hai. dudh ke 1 gilas me lagbhag 60 calories hoti hai aur sath me kai sare vitamins aur nutrients hota hai isliye dinbhar me vajan bdhane ke liye 2 gilas dudh pina avshyak hai.
![]() |
Taking ghee |
vajan badhane ke liye ghee bhi bahot asar dikhata hai. harroj roti aur daal me 1 chammach ghee dalke khane se bhi vajan badhne me help hoti hai.
cheese aur paneer ka sevan kare
![]() |
Paneer aur cheese |
Dudh se bani vastu jaise cheese aur paneer khana bhi vajan badhane me bahut asar dikhata hai. soup banate vakt ya fir kisi dish ki garnishing me upar se cheese dale aur ho sake to cheese vala khana harroj subah naste me khaye. aur paneer vala khana bhi apne diet me shamil kare jisase apka vajan teji se badhane lagega.
pulpy fruits khaye
![]() |
Pulpy fruits |
pineapple, papita aur mango jaise pulpy fruits khane se bhi vajan teji se badhta hai ye fal mithe aur pulpy hote hai aur aise fal me natural sugar hota hai isliye apne harroj ke diet me aisa ek fal ka sevan kre jisase apka vajan teji se badhega.
vegetable oil
![]() |
vegetable oil |
oil ke istemaal se khane me swad jarur badhta hai lekin agar aap vajan badhana chahte hai to swad badhane vale oil se jyada vegetable oil ka istemaal kre jese ki jaitun ka tel(olive oil), surajmukhi ka tel(sunflower oil), nariyal ka tel(coconut oil) aur mungfali ka tel(peanut oil) ke jaise oil ka istemaal apne khane me kare jisase swad bhi ayega aur vajan badhana chahte hai to vajan bhi teji se badhega.
wheat bread ya chapati
wheat bread aur roti |
vajan badhane ke liye sabut anaj ka bana khana khana asarkark hota hai. vajan badhane ke liye aap apne harroj ke diet me genhu yani wheat ki bread aur chapati yani roti shamil kare vajan badhane ke liye ye ek faydemand aur asarkark tarika hai.
aaloo(potatoes)
![]() |
Potatoes |
Vajan ghatane ke liye jo aaloo ka tyag karna padta hai vahi aaloo vajan badhane ke liye bahot hi faydemand hote hai agar aap vajan badhana chahte hai to protein aur nutrients bharpur aaloo ko boil ya fry karke khaye.jisase vajan teji se badhane lagta hai.
dryfruits (sukhe meve)
![]() |
Dryfruits |
dryfruits me bahot sara nutrients aur fat hota hai aur sath hi me fiber bhi hota hai isliye vajan badhane ke liye dryfruits bahot hi faydemand hota hai aur dryfruits me badam khana bahot asarkark hota hai. harroj dryfruits ka sevan karne vajan jaldi se badhane lagta hai.
fali vali sabjiyaan
![]() |
Fali vali sabjiyaa |
fali vali sabjyaan khane se bhi vajan badhata hai fali vali sabjiyon me rajma, moong, soyabean jaisi sabjiyaan me protien aur carbohydrates achhi matraa me hota hai. isliye ye faliwali sabjiyaan khane se apka vajan jald hi badhane lagta hai.
meetha khana(sweet food)
![]() |
Sweet food |
meetha yani sweet food khana vajan badhane ek behtarin upay hai. isliye agar ap apna vajan badhana chahte hai to meetha sweet food khana start kare jisase vajan teji se badhne me help hogi.
eggs
![]() |
Eggs |
eggs me bahot sara protein, fat aur nutrients hote hai. agar aap non veg khate hai to vajan badhane ke liye apne diet me eggs ko shamil kare. eggs se vajan teji se badhta hai. aur aap eggs alava bhi other non veg kha sakte hai jaise ki fish chicken jaisi chize khane se bhi vajan badhata hai.
exercise
![]() |
Exercises |
Vajan badhane ke liye ap kuchh exercises bhi kar sakte hai. lekin dhyan rahe ki ye exercises kisi expert ki nigrani me hi kare.
aap vajan badhane ke liye aerobics aur bench press jaisi exercises kar sakte hai.
Vajan badhane ke liye other tips
Vajan badhane ke liye ap kuchh other tips bhi apna sakte hai.
- agar apko kisi bhi prakar ka vyasan hai jaise ki smoking aur sharab vagaira jaise nasha hai to use turant hi bye bol de kyunki nasha karne se vajan badhane me problems hoti hai.
- ap exercises ke alava pranayam karke bhi vajan badha sakte hai.
- rat ko sone se kam se kam 2 pehle dinner le.
- roj subah pani me 2 chammach shahad dalkar piye.
- apke khane ki matra ko harroj thoda badhaye.
- khana time par khana chahiye.
0 comments:
Post a Comment