Aaj kal ke lifestyle me masale vale junk food jaisa khana khane se aur time par nahi khane se na sirf vajan badhata hai par jyada vajan ke karan shareer ke andar bimariyaa hone ka khatra bhi rehta hai. jyada vajan apki sundarta ko bhi khatam kar deta hai. jyada vajan yani motapa apke vyaktitv ke aakarshan ko kam karta hai.
kai log apna vajan ghatane ke liye alag alag diet plan banate hai to kai log gym jate hai. aur diet plan thik se expert ki advice lekar na banaya ho to apko jaruri nutrients aur vitamins nahi milte jisase apko kajori aa jati hai aur kai tarah ki bimariya hone ki bhi shakyata rehti hai.
apko weight loss karne me yani vajan ghatane me muskilat na ho aur sahi tarika apna sake isliye hum apko kuchh asan ayurwedik tips btayenge jisase follow kar ap apna weight loss kar sakte hai.
![]() |
Home tips for weight loss |
![]() |
Easy tips for weight loss |
Fast Weight Loss Tips
Jyada pani piye
Pani jyada pina na sirf motape ko ghatata hai balki keel muhase kam karne me bhi madad karta hai. apko dinbhar me kam se kam 10 se 12 gilas pani pina chahiye. dinbhar har insan ko 3 se 4 litre pani pina jaruri hai. aur khana khane ke aadhe ghante pehle bhi apko pani pina chahiye.
gunguna pani piye
harroj subah uthkar gunguna pani pina chahiye. isase apka motapa dhire dhire kam hota hai. dhyan rahe ki pani itna hi gunguna hona chahiye jitna ki apko ruk ruk ke na pina pde matlab ki pani jyada garam na ho aur jyada thanda bi nai hona chahiye. agar apko apne kamar aur pet ki charbi bhi ghatani hai to ap subah uthkar gungune pani me nimbu aur shahad milakar piye.
puri nind lijiye
kam se kam 7 se 8 ghanto ki nind har ek insan ke liye jaruri hoti hai. aur ap bahot busy rehte hai aur apko der rat tak jagkar kam karna padta hai tab bhi apko kam se kam 6 ghanto ki nind leni jaruri hoti hai. agar aapka vajan badh gaya hai agar motapa jyada ho gaya hai to iska ek karan puri nind na lena bhi ho sakta hai.
green tea piye
agar apko din me kai bar chay pine ki aadat hai to dudhvali chahy bilkul hi na piye. kyunki isase motapa kam hone ki jagah badhata hai. isliye aap subah ke alava din me 2 bar green tea ya lemon tea piye isase apka motapa kab hota hai.
ghar ka hi khana khaye
ho sake to bahar ke fastfood aur junkfood khane se bache. kyunki bahar ke khane me jyada calories hoti hai. aur jyada calories vala khana khane se bhi motapa badhata hai. isliye agar ap bahar ka khana jyada khate hai to use bandh kar dijiye. agar aap job karte ho aur pura din apko ghar se bahar rehna hai to ap ghar me bana khana tiffin me lekar jaye. motapa kam karne ke liye ghar bana hua swasth aur sudhdh khana hi khana chahiye.
sahi tarah se aur dhire dhire khaye
khana khate vakt agar apki kuchh buri aadate hai to use sudhariye. jaise ki aap tv dekhte hue newspaper padhate hue ya bate karte hue khana khate hai to vo galat tarah se khana hai isliye ye sab activity ap khana khane ke bad kare.
agar ako jaldi me thik tarah se chabaye bina khen ki aadat hai use sudhariye aur thik se chabakar khana khaye. hamara brain 20 minute ke bad kehta hai ki hamara pet ab bhar chuka hai, isliye humko hamari bhukh ke hisab se 2 kaur kam khane chahiye bad me thoda 2 kaur jitna kha sake utna bhukha rehna chahiye. aur dhire dhire thik se chabakar khana chahiye.
nasta kare aur chhoti chhoti khurak le
subah ka nasta karne se pura din fit aur good day ho jata hai, isliye apko harroj subah nasta karna nahi bhulna chahiye. aap agar din me 3 bar bada bhojan lete hai to vo thoda kam karke din me 4 ya 6 bar thoda thoda khana khane ki aadat rakhe. aur time par khana kha lena chahiye.
protein aur fibers vale aahar le
protein aur fibers vale aahar lene se pet jaldi bhar jata hai aur bhukh jyada nai lagti. protein aur fibers vale aahar lene ke bad kai der tak hme bhukh nai lagti isliye hume vajan kam karne me madad milti hai. protein aur fibers hume fruits, hari sabjiyaan, dudh aur dudh se bani chizo me se milta hai.
sabr rakhe
aisa nahi hota ki upar bataye gae tips follow karte hi apka weight teji se loss hone lagega aur 4-5 din ya 2-3 mahino me vajan kam ho jayega balki bahot time se badhe apke motape ko kam karna hai to apko sabr rakhna hoga, sabr ka fal mitha hota hai. aur agr aap sabr rakh ke motapa kam karne ke upar bataye gae upay start karte hai to apka motapa hamesha ke liye gayab ho jata hai.
0 comments:
Post a Comment