True Caller App aur Website Se Mobile Number Details Kaise Nikale???

truecaller app information



True caller app aur website se mobile number details kaise nikale??? dosto kabhi kabhi humare fon par unknown number se calls aur messages aate hai. kuchh log to logo ko pareshan karne ke liye unknown number se calls aur messages karte hai.

Jab humare par unknown number se calls aur messages aate hai aur hume problem jyada ho to hum sochne lagte hai ki ye kiska number hoga, kis liye call, miscall ya message aaya hoga, aise farzi call ka pata hum kaise lagaye. aise bahot sare saval humare man me paida ho jate hai.

Agar dosto aap bhi aise farzi call ya message se pareshan hai to iss article me humne ye bataya hai ki aise farzi call ka pata hum kaise laga sakenge. truecaller, dosto true caller ek aisi website hai jisme aap vo unknown number dalke uski details nikal sakte hai.

True Caller App aur Website Se Mobile Number Details Kaise Nikale???

trace number by true caller


Humare mobile pe agar koi bhi farzi call ata hai to hum uske owner ke bare me janana chahenge. ab hum koi bhi sim ke bare me janane ke liye customer care office me to inquiry nahi kar sakte kyonki vaha par government ka law hai ki kisi bhi vyakti ko dusre koi bhi sim number ki details nahi di jati hai aur agar koi mobile company aisa karti hai to vo gairkanuni mana jata hai.

Agar aap koi farzi call ki details nikalna chahte hai to aap true call app ya website ke jhariye ye kaam kar sakte hai. true caller ek aisi application hai jo aapke mobile me bhi install ho sakte hai.

Humne iss article me true caller app aur website kaise use karte hai uski sari detail maine iss post step by step images aur video ke jariye bataya hai.


Computer Ya Laptop Me True Caller Website Kaise use kare

Aap true caller ko agar computer ya laptop me open karna chahte hai to truecaller.com website par jaye. aaiye hum aapko ab sikhate hai ki iss truecaller website ko use kaise karte hai wo mai aapko step by step samjaungi.

Step 1 : open truecaller.com

Jab aap truecaller.com website open karenge to aapke samne ek naya page khulega. usme aapko menu me ja ke apna account sign in karna hoga.

start truecaller


Step 2 : sign in your profile

Truecaller website ko apne computer ya laptop me open karne ke liye aapko truecaller me apna profile banana hoga.

Truecaller par account banane ke liye sabse pehle step 1 ke mutabik truecaller.com website open kare. uske baad left side par menu ke option me ja kar sign in ka option choose kare aur google+ ke sath sign in kar de.


sign in with google+


Step 3 : Trace number

Ab jab aapne truecaller me sign in kar liya hai to ab aap koi bhi number search kar uska name address aur location jaan sakte hai. 


enter number


trace number

Upar ke screen shot dekh kar aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki truecaller website computer ya laptop me open kaise karte hai. aapko kisi bhi farzi call ka number trace karna hai to aap uske number ko iss truecaller website me dalkar kar sakte hai.


Mobile Me Truecaller Use Kaise Kare

truecaller for mobile


Iss truecaller website ko aap apne mobile me bhi istemaal kar sakte hai. truecaller website ko mobile me open karne ke liye aapko apne mobile me truecaller name ki app install karni hogi aur usme apna profile banakar aap kisi bhi number ko trace kar sakte hai.

Mobile me true caller app install karne ke liye sabse pehle apne mobile ka google play store open kare aur usme truecaller search kar install kar le.

Jab aapke mobile me truecaller app install ho gayi hai to aap vo app open kare aur usme apna profile bana le jab aap mobile me apna profile bana lenge to aap apne mobile me bhi computer aur laptop ke jaise hi truecalller use kar sakte hai.


Final words

Hii friends!!! truecaller app aur website ke dwara mobile number ki deatails kaise nikale??? meri ye post pasand aai ho to aap iss post ko apne friends ke sath share kare aur apna feedback niche diye gaye comment box me jarur likhe.

0 comments:

Post a Comment