Masa Ke Dard Me Paye Turant rahat- Bawasir(Piles) Ka Garelu Upchar

Ajkal jyadatar logo ko bawasir(piles) ke dard se pareshan hai. iska major karan logo ki irregular dincharya aur ajkal ke khan pan hai. kyunki ajkal log bahar ka fastfood aur junkfood jyada khate hai. logo ko masaledar khana jyada pasand hai. aur jyada teekha aur masaledar khan khane se apko kai pareshaniya uthani padti hai aur unme se ek bawasir piles jaisi pareshani hai, jisase ajkal jyadatar log pidit hai.

bawasir me apke malashay me sujan ho jati hai. ye sujan 2 prakar ki hoti hai. ek andruni bawasir sujan, jisame apko sujan dikhati nahi par mehsoos hoti hai aur kai logo ko bleeding bhi hota hai aur dusri bahari bawasir hai jisame sujan guda ke bahri bhag me hoti hai. bahari bawasir me jyada dard nahi hota par khujli bahot hoti hai. bawasir ka sabse bada karan kabz hai. jisase toilet karte vakt jor lagane se andar ke masse bahar aa jate hai jisase patient ko bahut tej dard hota hai aur agar mase chheel jaye to jakham hone ke sath sath bleeding bhi hota hai.


Hemorrhoid




Jane acidity kaise kare dur


bawasir ke lakshan



bawasir ko pehchanana bahut hi aasan hai. 

bawasir me maltyag ke samay malashay me atyadhik pida hone lagti hai aur fir iske bad khujli aur raktstraav bhi hone lagta hai.

khujali iska common lakshan hai iske karan guda me sujan ho jati hai.

bawasir ka pramukh lakshan hai ki marij ko jyada kabz rehne lagti hai aur hazma kharab ho jata hai.

bawasir ka ek lakshan ye bhi hai ki marij ko pet kabhi kabhi gas banati hai aur dard hota hai.

bawasir ke karan kai logo ko sharirik kamzori bhi aa jati hai.


bawasir turant karne ke gharelu ilaaj


bawasir dur karne ke liye bahot sare gharelu aur jaldi asar karne vale ilaaj hai jo hum apko iss article me batayenge.


nimbu


Lemon for piles


nimbu bawasir ke liye achha aur aksir ilaaj hai. ap nimbu ko bich me se katkar uss par 4 se 5 gram kattha(कत्था) piskar laga dijiye aur iss dono nimbu ke tukdo ko chhat par rakh dijiye aur subah uthakar apki routine kriya khatam karne ke bad in dono tukdo ko chus lijiye. esa karib 5 se 7 din tak karne se bawasir me bahot rahat milegi

nimbu ka dusra upchar hai ki dedh se do kagzi nimbu ko anima ke sadhan ke dwara guda me lijiye aur isse 10 se 15 minute ke antaral ke bad thodi der me isse lete rahe aur uske bad sauch jaye. ye prayog 4 se 5 din me ek bar kare jisase bawasir ka ilaj karne me labh hoga.


jeera


cumin seeds for piles


karib 2 litre chhachh me 50 gram jeera aur thoda namak mila le aur jab bhi apko pyas lage tab pani ki jagah ye chhachh piye. 5 se 7 dino tak ye prayog karne se bawasir ke mase thik ho jate hai.
iske alava agar aap 1 gilas pani me adha chammach jeera powder dalkar harroj piyenge tab bhi apke piles recover hone lagte hai.


jamun


Berries for piles


jamun ki gutli ka andar ka bhag sukhakar uska churan bana le aur fir din me ek bar use ek chammach ki matra me use ek gilas gungune pani ya chhachh ke sath sevan kare isase khuni bavasir kam hone lagte hai dhire dhire gayb ho jate hai.


isabgol


Plantago ovata for piles


isabgol ka sevan karne se aniyamit aur kade mal se rahat milti hai. isase pet saaf rehta hai aur masa ka dard bhi jyada nai hota. 


badi ilaichi


Large Cardamom for piles


badi ilaichi bawasir dur karne ke liye ek bahot hi achha, aksir aur asarkark upchar hai. badi ilaichi ka sevan karne ke liye badi ilaichi ko tave par thoda fry kar jala le aur phir isse thanda hone ke bad pis le. roj subah uthakar khali pet ye churan lene se bawasir me kafi fayda hota hai aur dhire dhire piles thik ho jate hai.


neem


Neem oil for piles


neem ka tel masso par lagane se aur 4 se 5 bund harroj subah pine se bawasir me bahut hi labh hota hai.
iske alava neem ke chhilke ke sath nimbori powder ko harroj subah 10 gram ki matra me basi pani ke sath sevan kare isase bawasir me fayda hoga. aur ye prayog ke dauran aahar me ghee ka sevan karna aavshyak hota hai.


kishmish


Raisins for piles


kishmish bhi bawasir ke liye asarkark ilaj hai. 100 gram kishmish ko rat ko pani me bhigo de aur subah usi pani me uss kishmish ko masal de aur uss pani ka sevan kare ye prayog harroj subah karne se bawasir me kafi labh hota hai.


agar apko bawasir ka operation nahi karana hai to aap upar bataye gaye gharelu upchar apnakar bawasir ko dur kar sakte hai.

0 comments:

Post a Comment