Khoon Badhane Ke ilaj In Hindi-Khoon Ki Kami Kare Dur

Hamari body ke andar 2 prakar ki koshikaye hoti hai. lal yani red koshikaye aur dusri safed yani white koshikaye hoti hai. Isme red rakt koshikaye jab kam hoti hai to hume khoon ki kami mehsoos hoti hai aur isse anaemia rog bhi kehte hai. red rakt koshikaye kam hone ki vajah se yani ki blood kam hone ki vajah se kai prakar ki bimariya bhi hoti hai. iske alava bhi humare shreer me bimariyo se ladne ki sakti bhi kam ho jati hai.

chhote bachcho me blood kam hone ki vajah se bachcho ka mansik aur sharirik vikas thik se nahi ho pata. ek research ke mutabik khoon kam hone ki samasya purusho ke mukable mahilao me jyada hoti hai. khoon ki kami ki vajah se mahilao me periods samay par nahi aate.

Iss post me hum apko khoon badhane ke ilaj batayenge jisaka prayog kar aap apni shreer me rahi hemoglobin ki kami ko dur kar payenge.


Khoon ki kami ke karan - causes off aneamia


Khoon ki kami hone ke bahot sare causes hai.
  • khane me poshak tatvo aur nutrients ki kami ke karan
  • kisi bhi prakar ke nashe ki vajah se
  • body se adhik matra me khoon nikalne ki vajah se.
  • pet me koi infection ke karan
  • koi badi bimari ki vajah se rakt koshikaye kam ho jati hai aur khoon ki kami mehsoos hoti hai.


Khoon ki kami ke lakshan - Symptoms of aneamia


Apme khoon ki kami hai ye aapko pata kaise chalega??? khoon kami ki vajah se hamare shareer me kuchh badlav aate hai jaise......
  • shareer kamjori me mehsoos hona
  • thoda sa work thakan mehsoos karaye
  • tvacha ka rang fika aur pila padna
  • hatho aur pairo me sujan aa jana
  • bhukh na lagna aur khana dekhke chidchida hona.
agar aap bhi inn sabhi ka shikaar ho rahe ho to turant doctor ke paas jaye aur apna hemoglobin test krvake khoon ka kami hai ya nahi ye jan lijiye.



Red cells



Khoon ki kami ka ilaaj 


Khoon ki kami ka ilaj karne ke liye apko kuchh bato ka dhyan rakhna padega jaise ki..........
  • agar aap chay aur coffee jyada pite hai to vo adat sudhar kar har roj dudh pina rakhiye.
  • pratidin kam se kam 2 glass dudh pina chahiye.
  • agar aap smoking karna ya sharab pine ki aadate rakhte hai aur agar apme khoon kami hai to uss aadat ko turant chhod de. 
  • ghar ka khana khane ki adat dale.
  • bahar ka khana yani fast food aur junk food khana bilkul hi bandh kar de.
  • apne khan pan ka dhyan rakhe.
  • harroj exercise karne ki adat dale.
  • din me 2 bar thande pani se nahaye aur subah nahane ke baad suraj ki roshani me bethe.
  • rakt badhane vale ahar jankar unka sevan kare


Rakt badhane vale aahar


Rakt badhane ke liye rakt badhane vale nutrients vala food khana jaruri hota hai. isliye iss article me kucch aahar tips hum aapko denge jiska prayog kar apna rakt badha sakte hai.


Anar khakar badhaye rakt


Anar juice


Anar me bharpoor iron hota hai isliye roj subah ek anar khane se athva ek gilas anar ke juice ka sevan krne se dhire dhire rakt koshikaye badhane lagti hai aur iron ki kami ko jaldi hi puri karta hai. 


Banana se puri kare khoon ki kami


Banana aur milk


Banana se milne vale protein, iron aur calcium humare sharir me khoon ko badhata hai. isi liye harroj subah dudh ke sath banana ka sevan kare. ye upay na sirf khoon badhata hai balki dusri bimariyo jaise alsar, gurde ki bimari, pechis aur aankho ki samsya jaisi bimario se bhi nijaat paa sakte hai.


Dryfruits se badha rakt koshikaye


Dryfruits


Dryfruits yani sukhe meve me rakt badhane vale khadhy padarth hote hai, isliye badam, kishmish, kaju aur akhrot jaise dryfruits apke andr rakt koshikaye badhata hai. dryfruits ka harroj subah sevan karne se aneamia se jald hi nijat payenge.


Hari sabjiya ka sevan kare


Green vegetables


Hari sabjiyo ko rakt vardhak aahar ka naam diya gaya hai. hari sabjiyo me khaas kar paalak me bahot hi iron hota hai. isliye week me kam se kam ek baar paalak ki sabji banakar khani chahiye aur ho sake to harroj subah paalak ka juice pina chahiye. paalak ke alava bhi baigan aur dusri hari pattiyo vali sabjiyo me bhi bahot iron hota hai.


Chukandar(beet) ka sevan kare


Beet


Chukandar yani beet rakt koshikaye badhane ka rambaan ilaj hai. beet ka sevan harroj karne se karib ek mahine me hi apki rakt koshikaye badh jati hai aur apko jo khoon kami mehsoos hone par jo bhi bimariya hoti hai vo sab gayb ho jati hai. isliye harroj subah beet ka juice pina chahiye aur dophar salad me bhi beet ka sevan karna chahiye isase khoon jald hi badhne lagta hai.


Tamatar(tomatoes) se badhaye rakt


Tomatoes


Tamatar me adhik matraa me iron hota hai. tamatar bimariyo se ladane ke liye shareer me pratirodhak sakti bhi badhata hai aur tamatar ke rojana sevan se shareer me kabhi bhi khoon ki kami mehsoos nahi hoti hai. tamatar ka soup ya fir tamatar khane se shareer me khoon ki matraa badhti hai isliye din me kam se kam ek baar tomato ka sevan kare.


Amle ke sevan se badhaye rakt


Amla



Amla na sirf rakt vardhak hai balki amle ke sevan se khoon bhi saaf hota hai aur amla vitamin c se bharpur hota hota hai. amla fal ke taur par bhi kha sakte hai ya fir amla ka juice banakr bhi pi sakte hai. iske ilava bhi amle ka murabba ya fir amle ka churan ka bhi prayog kar sakte hai. harroj subah uthkar amle ka juice pina bhi faydemand hota hai.


Amla aur jamun ke juice ka sevan kare


Amla juice


Amla aur jamun ka juice barabr matraa me le aur isse milakar pine se shareer me hemoglobin ki matraa badhati hai aur hemoglobin ki matraa badhane ki vajah se shareer me khoon ki kami nahi hoti hai.


Khajoor ke sevan se badhaye rakt


Khajoor


Khajoor khoon badhane ka ek ramban upay hai. rojana khajoor ka dudh ke sath sevan karne se bahot hi faydemand hota hai aur khoon ki kami ko jaldi hi bharta hai. khajoor me iron ki matraa bahot hi jyada hoti hai aur iska harroj sevan karne se khoon ki kami jaldi hi bhar jati hai.


Apple(seb) ka prayog kar badhaye rakt


Apple juice


Apple yani seb, iss fruit me bahot sari matraa me khoon badhane vala padarth hota hai, seb me bahot sari matraa me iron bhi hota hai seb ka harroj sevan karn se kabhi bhi khoon ki kami mehsoos nahi hoti hai. apple ko fal ke taur par ya fir salad me bhi kha sakte hai. aap chahe to subah subah apple juice bhi pi sakte hai.


Til aur shahad se badhaye rakt


Sesame seeds and honey


baki upayo ki tarah til aur shahad bhi rakt badhane ke liye behtar upay hai. 2 chammach til ko 2 ghante ke liye pani me bhigo kar rakhe aur 2 ghate baad pani me til ko chhaan kar pees kar paste bana le. ab iss til ke paste me 1 chammach shahad milakar din me do bar sevan kare. karib 1 se 2 mahino tak ye proyog karne se kafi fayda hoga.


Pake hue mango pulp se badhaye khoon


Mango pulp


Paka hua mango pulp agar dudh ke sath liya jaye to isase bhi khoon badhane me kafi fayda hota hai. harroj din me ek bar paka hua mango pulp dudh me milakar lijiye apka khoon teji se badhane lagega.


Lahsun se badhaye khoon


Lahsun paste


Lahsun na sirf khoon badhane me madad karta hai balki lahsun se rakt sudhdh bhi hota hai. lahsun ki paste me namak milakar chatni bana le aur iska harroj sevan kare isase apke khoon badhane me jaldi hi fayda dikhega.


Mungfali ka sevan kar badhaye rakt


Mungfali


Mungfali ko gudd ke sath thik tarah se chabakar khaye isase jald hi fayda hoga. mungfali aur gud dono hi sehat ke liye faydemand hota hai isliye ye prayon din me 1 se 2 bar karne se khoon badhne me jaldi hi fayda hoga.


Makke ka prayog kar badhaye rakt


Makka


Makka khoon badhane ka ek faydemand aur behtar upay hai. makka rogiyo ke liye bhi bahot hi paustik hota hai. makke ke dano ko shenk kar khane se bahot hi swadist lagte hai. iske alava aap makke ke dano ko ubal kar bhi kha sakte hai.


Soyabean se badhaye khoon


soyabean


Soyabean aneamia ke patients ke liye bahot hi faydemand hota hai. soyabean me bharpur matraa me iron hota hai isliye soyabean ko khoon badhane ke liye khana bahot hi faydemand sabit hota hai. soyabean ko aap ubaal kar kha sakte hai.


Angur(grapes) se badhaye hemoglobin


grapes


Angur hemoglobin ki kami se hone vali bimariyo ko thik karta hai. aur itna hi nahi balki angur me iron ki matraa bhi adhik hoti hai aur isase khoon badhane bhi help hoti hai.


Falsa aur Gajar se kare rakt ki kami ko puri


Falsa


Falsa aur Gajar khoon badhane ke liye behad hi faydemand mane jate hai. vaise to in dono ko fal ke taur par bhi khaya ja sakte hai lekin subah subah inn dono me se ek ka juice bhi pi sakte hai. Gajar ka juice false ke juice se adhik faydemand hota hai.


Anaj aur daale khaiye


Daale


khoon badhane me sabse jyada anaj aur daale khaana behad jaruri hai. genhu, mung, chane jaisi chize paka kar khana khoon badhane ke liye sabse behtrin tarika hai anaj aur daale khane se khoon dhire dhire badhata hai lekin behad asarkark bhi hota hai isase apke shreer se bimariyaa bhi dur rehti hai.


Amrud(guava) khakar badhaye rakt


Guava


Amrud khana kai logo ko pasand hota hai isliye behtar hoga ki aap jyada pake hue amrud khaye. jyada pake hue amrud khane se khoon badhane me help hoti hai.


0 comments:

Post a Comment