23 Bhukh Badhane Ke Asaan Ayurwedik Upay

Ajkal bhukh na lagana bahot hi aam bat ho gai hai. Khana khate time aksar hum kai baar sunte hai ki bhukh nai hai. aisa chote bache hi nahi balki bade bhi kehte hai. chhote bachche kuchh na kuchh aisi chize khate rehte hai jisase bhukh lagni kam ho jati hai. bhukh na lagne ke karan koi janleva bimari to nai hoti par bhukh na lagne ke karan shareer me bahot hi kamzori aa jati hai.


Increase hunger




Bhukh Na Lagane Ke Karan


Bhukh na lagane ke bahot sare karan hai jaise ki.....

  • Kabz, gas, acidity aur pet se judi koi samsya hone ki vajah se,
  • kisi bhi prakar ke nashe ki vajah se,
  • Physical activity jyada hone ki vajah se,
  • Kisi bhi prakar ka tension ya stress ki vajah se,
  • Digestion system kharab hone ki vajah se,
  • kisi bimari ki vajah se jaise bhukhar ya sirdard ya fir kisi or bimari ki vajah se,
  • Khane ki galat aadato ki vajah se jaise ki jyadatar bahar ka khana khane se aur cold drink pine se apko bhukh nai lagati hai.


Bhukh badhane ke aasan Ayurwedik upay


Bhukh badhane ke liye aleopethy ya fir koi or medicine products ke upay ajmane se achha hai ki hum aasan ayurwedik upay ajmakar aap apni bhukh ko badha sakte hai. hum iss article me kuchh gharelu ayurvedik tips batayenge jise ajmakar aap apni bhukh badha sakte hai.


1) Agar aap dudhvali chay pite hai ya coffee pite hai to use bandh kar de kyo ki chay aur coffee pine se bhi apki bhukh kam ho jati hai isliye agar apko chay aur coffee pine ki adat hai to use bandh kar aap green tea pina start kare.

Green tea

2) Subah uthkar gunguna pani pine ki aadat rakhe.

3) agar subah ke naste me aap tala hua khate hai to uski jagah halka fulka nasta karna rakhe kyunki tala hua khana apki bhukh badhane nahi deta.

4) Adarak yaani ginger humare pet ke liye bahot hi achha mana jate hai, isliye khane ke adhe ghante pehle sindh salt ke sath adark khaye, isase bhukh badhati hai aur khana dekh kar aap chidchidapan nahi karenge aur na hi inkaar krenge.

Ginger

5) Agar apko bhukh na lagane ka karan kabz hai to raat ko khana khane ke baad 1 chammach trifalaa churan halke garam paani me ya fir ek gilas dudh ke sath lijiye. iske prayog se subah apka pet saaf ho jayega aur kabz ki shikaayat dur ho jayegi aur bhukh bhi badhane lagegi.

6) Ajwain bhi pet ke liye bahot achha hota hai isliye khane ke kam se kam 1 ghante pehle ek chammach ajwain chaba chaba kar khaye isase apki bhukh badhati hai.

Ajwain


7) Jyada pani pina har ek normal insan ke liye jaruri hota hai. aur agar aapko bhukh nai lagati to apko kam se kam din me 3 se 4 litre yani 12 se 15 gilas pani pina chahiye aur dhyan rahe ki khana khane ke ekdam baad pani na piye kam se kam aadhe ghante ka gap rakhe.

8) kisi bhi prakar ke nashe jaise cigarate pina, sharab pine jaise caffen aur nashe se dur rahe aur ho sake to bahar ke cold aur soft drinks pine se taje falo ka ras pina pasand kare.

9) Kabhi kabhi akele khane se bhi bhukh nahi lagti aur agar hum group me khana khaye to hum normal se jyada khana khate hai isliye agar bhukh na lagati ho to family members ya dosto ke group ke sath khaye.

10) Thodi thodi der me kala namak chatate rahiye jisase apki gas ki problem khatam ho jati hai aur bhukh badhati hai.

11) Paka hua tamatar aise hi khane se bhi bhukh badhati hai.

12) Paki hui imali ka gudda, 2 se 4 daane laung, kali mirch aur dalchini ko 1 gilaas pani me milakar ubaal le aur fir isse chhan kar pi jaye aisa harroj karne se bhi apki bhukh badhati hai.

13) Bhukh badhane ke liye sabse jaruri hai ki aap kisi bhi prakar ke tanav ya stress me na ho is liye aap agar kisi bhi prakar tension le rahe hai to tension free hokar humesha mind fresh rakhe aur khush rahe.

14) Agar humesha der raat tak jagte hai to apki nind puri nahi hoti aur aap tanav aur stress me rahenge isliye jaruri hai ki aap puri nind le aur der raat tak na jage.

15) Jyada se jyada salad aur fresh fruits khana chahiye. salad apki bhukh badhata hai isliye harroj khane ke sath salad khana chahiye.


Salad


16) Bhojan se 1 ghante pehle gajar, gobhi, palak aur hara dhaniya jaisi sabjiyo ka juice pina chahiye isase apki bhukh badhati hai.

17) Harroj ek seb(apple) khana chahiye, seb humara khoon bhi saaf karta hai aur bhukh bhi badhata hai.


Apple(seb)


18) harroj ek gilas lassi me thoda kala namak, thoda safed namak aur thoda jeera powder mila kar pine se bhukh badhati hai.

19) Bhukh badhane me neembu bhi bahot asar dikhata hai. harroj neembu ras pine se bhukh badhati hai aur kabz ki shikaayat bhi dur hoti hai.

20) Lichi bhi bhukh badhane ke liye ek asarkark upay hai. harroj lichi khane se humare shareer ki pachan sakti achhi ho jati hai aur sath hi bhukh bhi badhati hai.


Lichi


21) Amrud ke patto ka ras bhi bhukh badhane ke liye kaargar hai. amrud ke patto ka ras pine se khoon saaf hota hai aur bhukh badhati hai.

22) Jamun khana bhi bhukh badhane me asarkark sabit hota hai, jamun khane se bhukh badhati hai.

23) Agar aapki rojana ki life me aap koi physical activity nahi karte to kuchh exercises karna rakhiye kyoki exercise ya koi bhi physical activity se apki shareer ki calories kharch hoti hai aur apko bhukh lagti hai isliye bhukh badha ke liye aapko physical activity ya exercise karni jaruri hai.
  

0 comments:

Post a Comment