Muhase(pimple), keel ye ajkal jyadatar logo me ye problem dekhne ko milti hai. generally ye problem teen-agers or yuva logo me hoti hai. sochiye agar apke gore bedag chehre pr keel nikal aaye, gori ya bedag dikhnevali skin dag dhabbe vali ho jaye to apka chehara kaisa lagega???? agar ap keel muhase hath se fod dete ho to dag dhbbe nikal aate hai.
Jane blackheads kaise hataye
jane gora banane ke upay in hindi
keel muhase(pimples) hone ke bahot sari vajah hai jaise ki...........
- keel muhase oily food khane se,
- pani ki kami ki vajah se,
- oily skin hone ki vajah se,
- gandgi ki vajah se,
- samay se na sona,
- time pr khana nahi khane se,
- hormans me badlav aadi ke karan hote hai...
Jane blackheads kaise hataye
jane gora banane ke upay in hindi
keel muhase(pimples) hone ke bahot sari vajah hai jaise ki...........
- keel muhase oily food khane se,
- pani ki kami ki vajah se,
- oily skin hone ki vajah se,
- gandgi ki vajah se,
- samay se na sona,
- time pr khana nahi khane se,
- hormans me badlav aadi ke karan hote hai...
![]() |
Pimples on Face |
agar aap keel muhase ki samasya se grasit hai to chinta mat kijiye hum apke liye aasan tarike laye hai ye keel muhase dag-dhabbe aadi dur karne ke liye....
![]() |
Remove pimples |
![]() |
Home remedies for remove pimples |
keel muhase(pimples) hatane ke aasan or gharelu nuskhe:
agar apke chehare pe bi dag dhabbe ya keel muhase(pimples) hai to janiye hamare aasan tips in sab chizo ko hatane ki...
sabse pehle rakhna apko hoga itna khayal....
1) keel muhase junk food khane ki vajah se bhi hote hai isliye ap bahar ke junk food or bahar ka khana khate ho to sabse pehle vo bandh kar dijiye.
2) pradushan(polution) se dur rahe.
3)time pr khana na khane ki vajah se ya time par na sone ki vajah se bi ye problems ho skti hai isliye time pr khana khaye or time sone ki aadat dale.
4)ladkiyo me hormonal changes ki vajah se bi keel muhase ki samasya hoti hai.
5)agar apki skin oily hai or iski vajah se keel muhase hote hai to ap din me kareeb 2 ya 3 bar apna munh(face) dhoye.
6)agar ap pani kam pite hai to pani thoda jyada piye kyunki pani ki kami ki vajah se bi pimples ho skte hai. isliye din me krib ek ya adhe gnte ki duri pr ek glan pani pijiye.
7)agar ap keel muhase hatane ke liye ap bajar se kai tarah ke products use krte hai to bndh kr dijiye kyuki iski side effect ki vajah se bhi apke muhase badh skte hai.
Gharelu Aur Ayurvedik Nuskhe Ajmakar Keel Muhase(pimples) Hataye
1) Bhaap(Steam) Lijiye:
agar apko kisi vajah se jaise job ya koi or vajah se bahar polution or dhoop vali jagah pr rehna pad raha to sham ko ghar agr garm pani se bhaap lijiye isase apke chehare pr lage dhul-mitti ke lage hue barik kan dur ho jayenge or ap keel muhase nahi honge. ap chahe to garm pani me ek ya adha nimbu bi nichod kr bhi bhaap le skte hai isase apke chehre se dhul mitti ke kan dur hone ke sath sath apki skin pr nikhaar bi ayega.
![]() |
Steam tip |
2) Neem Pack Lagaiye:
keel muhase hatane ke liye neem pack ayurvedik or bina side effect ka tarika hai. neem pack ko lgane ke liye pehle neem ke patto ko dhokar use ubaaliye or pees lijiye or ye lep munh pr lagaye or 15 mint bad dho lijiye. esa karib 1 mahine tak kijiye muhase dur ho jayenge
ap chahe to neem pack na laga subah subah neem ka juice bi pi skte hai isase sehat bi achchi hogi or keel muhase bi dur hoge.
![]() |
neem ka face pack |
3) Aleovera Use Kijiye:
aleovera ke podhe ko beech me se kat kr munh pe lagaiye. rat ko laga kar so jaiye or subah uth kr munh pani se dho le. esa krne se skin glow hogi or keel muhase dur hoge. ap neem ki tarah aleovera ka juice bi pi skte hai isase bi sehat achhi rehti hai or keel muhase bi dur rehte hai.
![]() |
Aleovera gel |
4) Neembu Ka Ras Lagaiye:
keel or muhase ko hatane ke liye neembu sabse sasta or asan tarika hai. neembu sab jagaho pr milta hai. neembu ke ras ko munh pe laga lijiye or sukh jane ke bad dho dijiye or yad rahe ki neembu ras lagane ke bad dhoop me na jaye. neembu ek ayurvedik bleeching ka kam krta hai isase keel muhase hatane ke sath sath skin glow bhi ho jati hai.
5) Chandan Or Haldi Ka Lep:
chandan or haldi sabse achha ayurvedik upay hai. ap chdan or haldi ke powder me doodh milakar lep bnaiye or ye lep apne munh pr laga ligiye. apke keel muhase dur hone ke sath sath apki tvacha me nikhar ayega or tvacha chamakdar bhi hogi.
chandan or haldi ke powder me ap nimbu or shahad bi mila kr lep bana kr laga skte hai. ye bhi ek behatarin lep prove hoga.
![]() |
Haldi aur Chandan ke powder ka lep |
6) Shahad(Honey) Ke Fayde:
shahad yani honey se bhi keel muhase ko roka ja skta hai. upar ke mutabik shahad ko chandan or haldi sath milakar bi munh pe laga skte hai. isase muhase rokne me mdad milegi.
shahad or neembu ka lep bi bada asar krta hai. neembu or shahad ko ek sath milakar lagane se apke muhase or chehre ke dag dhabbe thode dino me gayab ho jayenge.
![]() |
Honey for remove pimples |
7) Besan Or Haldi Ke Sath Kapoor Ka Pack:
besan haldi or kapoor ka pack bi ek ayurvedik gharelu upchar hai. isase muhase ko hatane me madad milti hai. ek badi chammach besan or 1/4 chammach haldi or kapoor ke sath pani milakar lep taiyar kre or ise apne munh pr lagaye isase apke keel muhase kam ho jayenge.
![]() |
Besan, haldi aur kapoor ka lep |
8) Green Tea Pijiye:
apke srir ke andar jo apko nuksan pahuchane vale padarth hote hai jiski vajah se apko keel muhase nikal aate hai. vo nukasani padarth ko hatane ke liye rojana green tea pina labhdayi hota hai. har roj subah 1 ya 2 cup green tea pijiye. muhase kam ho jayenge.
![]() |
Green tea |
9) Pudeena:
apke chehre pr daag dhabbe hai to pudeene ka pack banakar laga skte hai. pudeene ko pees kar uska lep taiyar kijiye or apne munh pr laga lijiye 30 minute bad munh saf sudhre pani se dho le esa kri 1 mahine tak krne se chehre dag dhabbe or keel muhase se hamesha ke liye chhutkara pa skte hai.
![]() |
Mint for remove acne |
10) Jaifal:
jaifal ko rat me dudh ke sath ghise or ye misran ko rat me laga kar so jaye subah uth kar saaf pani se munh ko dho lijiye. esa krne se apko keel muhase or dag dhabbo se nijat milti hai. or ye ek ayurvedik tarika hai.
![]() |
dudh aur jaifal |
![]() |
Dudh ke sath ghisa hua jaifal |
11) Tulsi:
tulsi ke taje patto ko pees kr ek pack bnaiye or ye ap apne keel muhaso pr lagaiye. esa krib 10 ya 15 din krne se pimples km hone lgte hai or dhire dhire gayab ho jate hai.
![]() |
Tulsi ka lep |
12) Multani Mitti Ka Pack:
keel, muhase, dag, dhabbe, jhuriya, blackheads, whiteheads ye sab kuch hatane ke liye multani mitti ek aksir or behtarin ilaaj hai. multani mitti ka face pack bana kr munh pe kuchh dino tak lagane se ye sab kuch dur ho jata hai.
ap chahe to multani mitti me gulabjal mix kr ke bhi pack bana skte hai.
![]() |
Multani mitti ka lep |
0 comments:
Post a Comment